mana k mera katil bhi wohi tha.
saray shehr mai tarif k kabil bhi wohi tha.
kehta tha apna hoon apno mai rahuga
bani jo saf e ghair to sab se aage bhi wohi tha.
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
Aj Mainy Osy Dekha Hai
Barsoon Bad
Dil Kuch Nae Andaz Se Dharka Hai
Barsoon Bad
Dil Chaha! K Barh Kar Roke Lo
Lakin
Zamane Ke Nigahoon Ne Saath Na Chora
Barsoon Bad
Dil Chaha! K Tery Rah Guzar ko Dekhta Hi Raho
Jany To Phir Kab Ay Barsoon Bad
Kisi na kisi pe aitbar to ho jata hai...
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai...khubion se nai hoti mohabbat sada...
khamion se bhi aksar pyar ho jata hai...
Uss Fizaa Mein Bhi Jalte Rahe Hum kisi K Liye
Jahan Chirag Taraste Thay Roshni K liye
Yaad Rahe Ga Ye Door-E-Hayat Bhi Humko
K Taraste Thay Zindagi Mein Zindagi K Liye
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha Meri Baton Pe Marta Tha Na Janay Shakhs Tha Kesa? Mujhy Khony Se Darta Tha Wo Jab B Bat Karta Tha Yehi Har Bar Kehta Tha Suno Agar Me Bhol Jaon To Agar Me Roth Jaon To Kabhi Wapis Na Aon To Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia Yohi Hanste Raho Gay Kia? Yohi Sajte Raho Gay Kia? Yehi Baten Thi Bus Uski, Yehi Yaden Thin Bus Uski Muje Malom Hay Bus Itna “Yaar ” Muje Wo Piyar Karta Tha Muje Khony Se Drta Tha