un k liye jab hum ne bhatakna chorr dia.

un k liye jab hum ne bhatakna chorr dia.
un k liye jab hum ne bhatakna chorr dia.

yaad mein unki jab tarapna chorr dia.

wo roye bohat aa kar tab humary paas.

jab humary dil ne dharakna chhor dia.
  

May, 28 2010     164 chars (2 sms)     2878 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
baal bikhraye tooti qabron par

jab koi mahjabeen roti hai

mujh ko aksar khayal aata hai

maut kitni haseen hoti hai
Teri Yaad MainBohat Peghaam Likhte Hyn

Teri Yaad Main Guzri o Shaam Likhte Hyn

Wo Qalam Bhi Tera Deewana Ho Jata Hy

Jis Se Hum tera Naam Likhte Hyn
Hua Jo Gam Apko Dard Kisi Aur Ko Hoga,

Haso Jo Aap To Khush Koi Aur Hoga,

Socho To Zara Us Insan K Bare Me,

Wo Akhir Mere Siwa Aur Kaun Hoga
"Tanhaiyo me muskurana ishq hai,
ek baat ko sab se chhupana ishq hai,
yu to nind nahi aati hume rat bhar,
magar sote sote jagna or jagte jagte sona ishq hai."
meri rooh jesay kuchal gya,
koi shaks aisy badal gya,

ye kis ka harf-e- dua raha,
k main girty girty sanbhal gya,

teri yaad jab aany lagi,
mera dard jesy behal gya,

meri qismaton ka qaafla,
kisi aur janib nikal gya,

tumhain dekhty hain bysabab,
koi khawab mera machal gya,

mera patharon sa garoor tha,
magar tery aqgy pighal gya....
Sanson main B Shamil Ho



Laho main B rawaan Ho


Lakin merAy Hathon ki Lakeeron main kahan ho?
Tum bhi kar k dekh lo kisi se muhabbat aae dost

jan lo ge hum muskarana kion bhol gae.
kash koi parhta meri nazron se pegham-e-mohabat''

umar guzri hai iqbal lafzon ko ashaar kartey...
Hum woh bay derd hain
Hum woh bay derd hain

khawab ganwa ker bhi jinhain neend aajatai hai.......

sooch sooch ker b jink zehnon ko kuch nahi hota....

toot phoot k b jink dil dharak na yaad rakhtay hain....

hum woh bay derd hai...

toot ker roonay ki kosish main jo..

baaat bay baat muskurata hain...

sham say phelay mer janay ki khahish main jo...

jeetay hain ,

aur,
jeetay chalay jatay hain.....
mout to bas apne nam se badnam ha
=Dost=
warna takleef to zindagi ma bi ho ha
Ta''aluq Baad Main
Tabdeel Ho Kr Jo Bhi
Reh Jaaye

Mohabbat Main Wo
Pehla Muskurana
Yaad Rehta Hy !!!