Guzarta hua saal

Guzarta hua saal
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!
  

Jun, 05 2010     230 chars (2 sms)     2643 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Raat Bhi Gahri Thi Hum Daar Bhi Sakte They

Hum Jo Kahtey They Kar Bhi Saktey They

Who Jo Bichra To Yeh Bhi Nahi Socha

Hum To Pagal They Maar Bhi Saktey They!!
Yunhi Fasslon Ko Sajay Rakh.
Yehi Intazar Rehne De.

Mere Zehen-o-Dil K Sakun Per.
Mera Ikhtiyar Rehne De.

Teri Chahto Ka jo Dard Hai.
Ye Sub Khushi Se Qabool Hai.

Meri Chashm-e-Num Ka Guma Na Kar.
''Muje Askh Baar Rehne De.

Teri Bebasi Baja Sahi.
Meri Khush Fehmi Bhi Galat Nahi.

Tujhe Har Qadem Per Khushi Mile.
Mujhe So-Gawaar Rehne De.

Meri Guftugu Me Jo Dard Hai.
Wohi Dard Mera Naseeb Hai.

Main bhula Chuka Hon Dard Ko.
Mujhe B-Qaraar Rehne De.
Bullandio''n Pe Hamesha Humain Nahi Rehna

Hum Aaftab Hain Aur Shaam Ki Azaan Tak Hain
kuch is liye b wo hum se khafa raha

amir

wo jan gya tha k humain un se pyar buhat hai...
ankhein b wohi hein darecha b wohi hai,

soch k angan main utarta b wohi hai,

wo jis ne diya mujko mohabat ka khazana,

barish ki trah ankh se brasta b wohi hai!
Jab wo mera NAAM Apne haathon ki LAKEERON mein;

TALAASH Kr k THAK Gaya To dheere se sir jhukaya Aur,

muskra k kaha

''''Lakeerein jhoot bolti Hain''''
waqat ki aanch pe pather bhi paghal jate hain.

qahahe toot k ashkon main badal jate hain.
is ajnabi shahar mein yeh pathar kahan sy aaya sagar..

logon ki iss bheer main koi apna zaror hai..
Mujh may khushbu basi usi ki hay...


Jaisay yeh zindagi usi ki hay...


Woh kahee''n aas-paas hay mairay...


Ho na ho yeh ha''nsi usi ki hay....


Ab to khuwaab hi nahee''n mairay....


Ab to neend bhi usi ki hay....


Ya to koi kami nahee''n mujh may...


Werna mujh may kami usi ki hay....!!
Woh mujhy Tout kar Chahay gaa Choor jaye gaa
Mujhy maloom tha Ussay yah Hunnar bhee ata hay... :''(
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.

Masoom Si Khwaish Hai Dil Ki

Pakeeza Chahat Hai Meri

Koi Daagh Lage Bhi Tou Kese

Ba’wazu Hy Mohabbat Mer