Yeh saal bhi udaas raha roothh ker gaya

Yeh saal bhi udaas raha roothh ker gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh saal bhi udaas raha roothh ker gaya
Tum sey miley baghair december guzar gaya


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  

Jun, 05 2010     142 chars (1 sms)     5251 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yeh mere aansu jinhe koi pochne wala bhi nahi
- Koi aanchal enhe milta to sitare hote.
Humare Seeney Main Rehta Hy Bicharne Ka Amal Taaza

Hawao''n Un Se Keh Do Wo Aksar Yaad Aate Hyn
Aksar main apney ansoon chupke chupke pee laita hoon
atti hay jub kabi woh nazar martey martey jee laita hoon
Shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
Guzra kal tha peeche, aaj samne hamare
Hum kabhi to kharay thay
Jaane kis kinaray
Khafa huay tum, zindigaani se hum haaray ..

Is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
Waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
Bheegi baarish main kharay thay
Kaali raat ke thay nazaare....
Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka.
Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka.
Main Tu Akela Chal Raha Hoon Andheron Main.
Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Rosheni Ka.
Hans Bol K Rukhsat Hona Hay
Phir Tanha Baith Ke Rona Hay

Din Yaad k Saya Daar Shajar
Shab Khabon Bhara Bichona Hay

Mujhy Ain Khizan Main Tere Liye
Phoolon Ka Haar Pirona Hay

Tere Pyar Ka Samra La Haasil
Pather main Beej Ka Bona Hay

Itna Dilgeer Ameer Na Ho
Ho Jaye Ga Jo Kuch Hona Hay
aik arse se yeh aankhain soee nahi
hansi nahi
roee nahi
milli nahi
khoee nahi
ek baat thi dil main
jo tum se kabhi kahee nahi
TUM JAISA KOI NAHI
Tumhain jana ijazat hai
Koi b rasta chun lo

Kesi ki muntazir tehro
Ya hum ko alwida kehdo
"Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
Husool-a-Deed se mashroot kb hai Jazba-a-Dil,

Mujhay to Pyar Teray Naam pr b aata hai,

Main Hijr-o-Wasl ki Haad se Guzar Gaya Shayed,

Tu Samnay B nahi or Nazar B aata hai..
Tadapte Dilke liye Kuch Qarar le aaye,

Kahin se Pyaar ki Khushboo Udhar le aaye…
Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Deti?
Main Apni Zaat Ka Usko Hisab Kya Deti?
Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz!
Mai Us Ke Hath Mein Puri Kitab Kya Deti?