bechain main na jaane kya chahti hoon
shaayad apne dil ki gahraayee paanaa chahti hoon
lekin sab ke liye anjaan main
aaj jaan payee hoon
ki main khud se bhi anjaan hoon
isiliye
apne dil ki kasak ko mitana chahti hoon
apni bechain saanson ko sametna chahti hoon
lekin kaise shaayad yahi janna chahti hoon
kub kon kissi ka hota hai
sub jhote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umr rulatey hain
Meray janay pay aay jaana
pereshan tum nahin hona
kabhi chup ker nahin rona
judai zeher hoti hai
mujhay maloom hai lakin
furaq-o-hijer ka mosam
yaqeenen beet jayega
yaqeenen wasal kay lamhay
dobara lot aain gay
wohi shamain wohi raatain
wohi qissay,wohi batain
wohi phir dastaan hogi
muhabbat meherbaan hogi