Mainay dariyaa say

Mainay dariyaa say
Mainay dariyaa say seekhee hai paani kee parda-daari,
Uuper uuper hanstay rehna gehraayi mein rou leina,

Reit bhari inn aankhon mein, aansuu say tum dhou leina,
Koi sookha ped milay tou uss say lipat kar rou leina,

Iss kay baad bohut tanhaa ho jaisay jangal kaa rasta,
Jo bhi tum say pyaar say bolay saath usee kay hou leina,

Kuchh tou reit kee pyaas bujhaao janam janam kee pyaasi hai,
Saahil par chalnay say pehlay apnay paanv bhigo leina,
  

Jun, 03 2010     454 chars (3 sms)     2696 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Gham k Saaye uski janib se hta dooN lakiN

Mere Bas main nahi haathon ki Lakeerain Likhna
Tum Muskurate Raho
Zindagi k Meley Main

Magar Ye Sochna Ek Pal
Kabhi Akeley Main

Kisi Ki Soch Main
Ehsas kI Sadao''n Main

Tum Bas Rahe Ho
Kisi Ki Duao''n Main
Darya Wafaon Ka kabhi rukta nahi
Pyar main insaan kabhi jhukta nahi
khamosh hain hum un ki khushi k liye aur
wo samajh bethe hain K Dil Humara dukhta nahi
Meray hatho ko oskay hatho ki esi adat thi, Wasi


Meray hath kisi or k choonay ko rzaa-mnd na thay.
Mili Har Qadam Par Rafaqat Tumhari,

Kahan ham Kahan Yeh Anayat Tumhari



Humain Chaheye Bas Taluq Tumhara,

Mohabbat Milay Ya Adawat Tumhari
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.
pahle to paaniyon se rahi guftagu meri.

phir youn hua ke aaina eejaad ho gaya.
''",.''.UDAAS RAAT''",."''
Badan Thakan se Choor hai,
Par Neend Hum se Door hai,
Tera Kheyal sath hai,
Bari Udaas Raat hai,
Hawa-e-Gham ka zoor hai,
Samandron ka Shor hai,
Judaiyon ki baat hai,
Bari Udas Raat hai,
Har Nazar Sharab hai,
Tere Milne ka Khuab hai,

Bari Udaas Raat Hai.
Use maloom hai meri awargi ki sabub kon hai.

phir bhi poochta hai tum se bewafai kis ne ki
Unke chehre ko ankhn s hata sakte nhi
dil ki betabi ki surat dikha sakte nhi
kitni dilchasp hain Mohabbat ki majburiyan
samne manzil ha or kadm bada sakte nhi
Armanoo Ki Barat To Kai Baar Sajai Hai Dil Me,,
Kisi Ko Lage Wo Janaza, To Baat Aur Hai,,

Dil Lagake Dard Kaun Baana Chahta Hai, Ae Dost,,
Par Dil Milae Bina Gar Chahat Mile, To Baat Aur Hai..
muttafaavatein hein merey Khuda ki ye tu nahi koi aur hai
ki tou asamaan pey ho tuo ho pisar-e-zami koi aur hai

woh jo raastey thay wafa ke thay yeh jo manzilein hein saza ki hein
mera humsafar koi aur tha mera humnashi koi aur hai

mere jism-o-jaaN mein terey siwa aur koi bhi dusara
mujhe phir bhi lagta hai ess tarah k kahi kahi koi aur hai

mei aaseer apane gazal ka mein faqir dasht-e-wisaal ka
jo hiren ko baaNdh ke le gayaa wo subuk_tagin koi aur hai