Aye Kaash!
Woh Din Kabhi Aya Na Hota
Tu Mujh Se Juda Na Hota
Aye Kaash!
Jis Ne Mujhe Tanha Kya
Woh Mera Apna Na Hota!
Aye Kaash!
Sheeshe Ki Tarah Tootne Wala
Mera Spna Na Hota!
Aye Kaash!
Yeh Kaash Na Hota
mujhay forsat he forsat hay ..
sawairay jald othna hay
na shab ko dair say sona
kahain baher nahe jana
kissi say bhe nahe milna
na koi fiker laahaq hay
na koi YAAD baqi hay
mjya tum se shikayat hai bus itne keh
jo milte ho tu apne he sunate ho
kabi qissa wafaon ka
kabi jalwa adon ka
keh tum ne din guzare kaise mere bin
jo kati shaab tu kitne kerwaten len yaad ker ker ki
kabi yah be khayal aya..
tera mehboob be insaan natiq hai
jo kahna chahta hai tum se sirf itna
zamin o asman ki qardishon ki beech
tumhe tu ho.. !!
mujya jo achy lagte ho....
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.