kIYA HAI WADA USNE

kIYA HAI WADA USNE
kIYA HAI WADA USNE PAANCHWEN DIN AANE KA,
.
.
.
.
.
.
.
.

YE JANTE HUE K CHAR DIN KI ZINDAGANI HAI.
  

Jun, 02 2010     110 chars (1 sms)     2525 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

choo rahe thay zalimoon ke sir mere paaon ke saht,
kis qadar uncha tha mein sooli pe charh janay ke baad.
Door hi sahi,
kinara to hai,

timtimata hi sahi,
sitara to hai..

Hojati hai tumhari yaad se hi tasalli…
tinka hi sahi.. Sahara to hai..
Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay,

Tanhaai Mein Jee
Letay,

Tum Ko Na Sada
Detay,

Is Dil Se
Dil Tak,

Deewaar Utha
Detay,

Mumkin Jo Agar
Hota,

Hum Tum Ko Bhula
Detay ....
Bhula Dena Use Jo rula Jaye,

Yaad Rakhna use Jo nibha Jaye.

Vaade Aapse karenge bahut Log,

Magar Apne Dil ki baat kehna use,

Jiske Bina ek pal na Jiya Jaye.
Khaab mai bhi gar tumhe kho dete hain,
judaai ke khayaal hi se ro dete hain,
ye ab jaa kar jana humne..
log muhobatt mai jaan kyo dete hain...!
TAMAM GAM BHUL JANE KO G KARTA HE AAJ, MUSKURANE KO G KARTA HE, BAHUT G LIYE SAHARE AAPKI YADON KE, AAJ APKE PAS AANE KO G KARTA HAI.
ae saqi tu jo ruswai ka dard mahsos kar k aaj marna chahta hai..

ase kayi dard hain jo hum mahsos ka r k jeete hain..
Kabhi subha hogi na shaam hogi

ashi koi kahani mare naam hogi

saahil ki mooj ka kiya pata

raat pey likhi tahreer gumnaam hogi

chalte rahay hain bas younhi

jane apni manzil ki gaam hogi

her ati saans per hoti hai subha

koun jane kab zindagi ki shaam hogi

tum mujhay jitna kureidoo gay

mari metti utni hi kaam hogi

jee raha hoon is umeed per main

tare dar pay zindagi ki shaam hogi

jis ki yaad main jitay hain hum

yeh zindagi bas us k naam hogi.
Jo kahta tha ik pahar hon main hila b na pao ge mujhko

Zamane ne aaj usko meti sa bana diya
sar nama mere naam ka aur khat raqeeb ka..

zalim tere sitam k hain unwan ajjab ajjab...
raabta toot jata he, silsila nahi milta
mujhay dehaan ki galiyon main raasta nahi milta

us kitaaray roshan main ik kami si lagti he
jis pe naam tha tera, wo diya nahi milta
itanaa TuuTaa huun ki chhune se bikhar jaongaa
ab agar aur duaa doge to mar jaauungaa

lekar meraa pataa vaqt raayagaa na karo
main to banjaaraa huun kyaa jaane kidhar jaauungaa

is taraf dhundh hai jugnuu hai na chiraaG koii
kaun pahachaanegaa bastii mein agar jaauungaa

zindagii main bhii musaafir huun terii kashtii kaa
tuu jahaan mujh se kahegii main utar jaauungaa

yahaan rah jaayenge guldaano mein yaadon kii nazar
main to Khushbuu huun fizaaon mein bikahr jaauungaa