Meray dil meray musafir.
Hova pher say hukam sadir.
K watan badar hon hum tum.
Dain gali gali sadaain.
Karain rukh nagar nagar ka.
K soraagh koi pain.
Kisi yar-e-nama bar ka.
Har ik ajnabi say pochain.
Jo pata tha apnay gher ka.
Sar-e-koay-e-tashanayan.
Humain din say raat karna.
Kabi is say baat karna.
Kabi us say baat karna.
Tumhain kia kahoon k kia hai.
Shab-e-ghum bori bala hai.
Humain yah b tha ganeemat.
Jo koi shumar hota.
Humain kia bora tha marna.
Agar aik baar hota.
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "KaMaL" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
Wajah koi nahi lekin .....
Woh mujh se har waqt naraz rehti hai ....
Kahin raste mein mil jaye .....
To nazren pher leti hai .....
Koi us se mera haal poochey.....
To us se rooth jati hai ....
Kabhi baaton baaton mein ....
Jo mera zikr aa jaye ....
Chali jati hai uth ker woh ....
Woh mujh se itna chidhti hai....
Ke ab to sochta hoon main ....
Kaheen mujh se ....
"Mohabbat to nahi us ko"
Jab ye mehsos hota hai k koi hai
jo meri rooh ki khamoshiyon ko apne alfaz deta hai
mere aansuon ko naam deta hai
jab bhi main muskuraoon to wo apni jaan deta hai
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!