Mumkin ho aap se

Mumkin ho aap se
Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay
Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay

Ki main ne apne zakham ki tash''heer ja baja
Hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay
Qaim to ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasnay se faida
Hai tairgi to aag laga dijiyey mujhay
Jaltey dinoon main khud pas-e-deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay
  

Jun, 04 2010     710 chars (5 sms)     2576 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
Tum se na katt saky ga Andheron ka yh safar......

Ab shaam ho rahi hai mera Sath choor do......
Tum Muje Chaho Gi Ek Din Dekhna
Haan Chale Aho Gi Ek Din Dekhna
Yun Mat Karo Mere Jazbon Se Mazak
Warna Pachtaho Gi Ek Din Dekhna
Soch Lo Ye Be Rukhi Achi Nahin
Khud Ko Tarpaho Gi Ek Din Dekhna
Mere Chahre Ki Jalak Ke Waste
Tum Taras Jaho Gi Ek Din Dekhna
Us Ishq Ne Jalaya Hai Muje
Tum Bhi Jal Jaho Gi Ek din Dekhna
Mere Dil Ki Ye Awaz Hai
Tum Samj Jaho Gi Ek Din Dekhna .
SanG DiL hY Wo To Q Us ka Gila maine kia


jb k khud Pathar ko butt'' Butt ko Khuda maine kia

Kaise Namanoos Lafzoo ki kahani Tha Wo Shakhs

Us ko kitni mshkilo Se Tarjma maine kia
Kis Ko Fursat Hey


Key Mujh Sey Behas Karey


Aur Sabit Karey


Key Mera Wajud


Zindagi Key Liye


Zaruri Hey....
Jurm-e-Ulfat ki saza detay han tere shaher k log,
Mujh ko Sholon mein jala dete han tere shaher k log,
Kaisay aaon tere shshar mein mom sa badan le kar,
Labon se aag barsate han tere shaher k log,
Mein to ek tota hua pata hon mere ooqat hi keya ha ,
Pholon ko bhi jala detay han tere shaher k log.
Mere Paas Waqt Nahi Hai
“Un Logo Se Nafrat Krne Ka Jo Mujhse Nafrat Krte Hai”
Q k,
Main Masroof Hun Un Logo Me “Jo Mujh se mohabbat Krty Hain”,.
Ghamon k Selaab Tu Pehle Bhi Bardasht kr Lete Thy ''ALI''

Par Ab Tu Ek Katray Se Bhi AankhAin Bheegh jati hAin
Kaun kehtA Hy K Teri Yaad Se GaafiL Hy SehAr


Bister ki hAr ShikAn Se Pooch KaisAy GuzArti hY RaaT Meri
dil ki dharkano ko dharka gaya koi
mere khawabon ko mehka gaya koi

hum to anjane rastey par chal rahe they
achnak pyar ka matlab shika gaya koi
kal dekha aik admi aata safr ki dhool main.

ghum tha apne aap main jase khushbo phool main,
hum jis ko takte hain her waqat dil ki nazar se amir.

wo chand tu kisi or asmaan ka hai.