meri rooh main jo uter

meri rooh main jo uter
meri rooh main jo uter sekain woh mohabbatin mujhay chahiyain
jo saraab hoon na aazab hoon woh rafaqatain mujhay chahiyain


inhain saetoon ki talash hay jo calenderoon say uter gain
jo samay k sath guzar gain wohi fursatain mujhay chahiyain


kahin mil sekain to samait la meray roz-o-shab ki kahaniyan
jo ghabaar waqt main chup gain woh hiqayatain mujhay chahiyain


jo meri shaboon ka charagh thay jo meri umeed k baagh thay
wohi log hain meri arazo wohi souratain mujhay chahiyain


teri qerbatain nahi chahiayin meri shairy k mizaaj ko
mujhay fasaloon say doaam day teri ferqatain mujhay chahiyain
  

Jun, 04 2010     619 chars (4 sms)     2316 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hasrat Se Tak Raha Tha Khiloney Khara Hua

Bacha Ghareeb Ka Wo Dukaan K Saamne ...
Dil k zakhmon ko
chupana para,


Palkain bhigee thi par
muskrana para,


kaise ultey hain ye
muhabat k rawaj,



Roothna chahte they
par unko manana para..->
Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.
dil ke bazzar mein daulat nhi dekhi jati
pyar ho jaye to surat nhi dekhi jati
ek insan par luta do sab kuch
pasand ho cheez to keemat nhi dekhi jati!
teray ird gird hain ghomtay,meri zindagi k mammley...

tujhey dhund lenay k shauq mein,mai ne apna aap ganwa dia.
bhanp jaye na kahen dil ki lagi ye dunia..

yun shafaq ban k mare chahre pe tehra na karo..
Qaid e Hyat o Bnd e Gham
Asa£ me 2no 1 hen

Mout se peh£ay admi Gham se nijaat pa''ay Q ?
Charagh Bujhtey Chaley Ja rhey Hain silsilawar....






main khud ko Dekh rha hoon Fasana Hotey hue
Kuch Rishtey Uparwaala Banaata hai,

Kuch Rishte Log Banaate hain,

Par wo, log Bahut Khaas Hote hain,

Jo Bina Rishte ke Koi Rishta Nibhate hain.....
TAMAM GAM BHUL JANE KO G KARTA HE AAJ, MUSKURANE KO G KARTA HE, BAHUT G LIYE SAHARE AAPKI YADON KE, AAJ APKE PAS AANE KO G KARTA HAI.
mujhay khabar thi,
zamaana chaahay bura he samjhay,
bhalay say ghar main mukhaalifat ho,
tumhaaray logon ko na-pasand ho,
tumhain to mujh par yaqeen hoga!
magar mujhay yeh khabar na thi,
tumhaari aankhon ki unsiyat bhi,
ek ajnabiyat say dekhti hay,
yeh waqt mushkil-tareen hay na!!
suno...
main majboor ho gaya hoon,
yeh sochnay par..
yeh sochnay par..
tumhain to mujh par yaqeen hay na...!!!
na pakren daman-e-alyaas gardab-e-fana main hum.

k badter doob kar marne se hai jeena sahare ka.