waqt ki aanch main

waqt ki aanch main
waqt ki aanch main pather bhi pigel jaty hain
qeh qehhy loat ker ashkon main badel jaty hain
koun kerta hai yaad kisi ko umer bher
waqt kay sath insan bhi badel jaty hain
  

Jun, 07 2010     173 chars (2 sms)     2240 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Woh Kuch Sunta To Mein Kehta
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Woh Do Pal Ko Jo Ruk Jata
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Ghalat Fehmi Nay Baton Ko
Barha Dala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha Woh Kuch Samjha
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
wo charagh-e-jaan k jis ki low,,,na kisi toofan se kam hui...

teri bewafai k wasvasay usay chupkay chupkay bhuja gae...!
Kabhi jo maazi main jhankoge
tumhain hum yaad aayenge,

kisi lamhe kuch jo sochoge
tumhain hum yaad aayenge ,

kabhi yun hi akele main
beet-e-dino ko soch ker

koi geet jo gungunaoge
tumhain hum yaad aayenge,

sab doston ki mehfil main
kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge
tumhain hum yaad aayenge,
,
zindagi ke kisi morr per
apne dil ki baat ko

kisi se keh na paoge
tumhain hum yaad aayenge. ...!!!
tu meri bani to theak werna dunia se chura loonga
apna chahay man jale saari dunia ko jala doon ga
aag, paani, sahra ya samundder say
main tujhay dhound nikaloon ga zameen ke ander se
main cheer ke rakh doon ga her us nasheman ko
jo tujhay apni aaghosh main lenay ki tammana rakhta ho
Teri Mohabbat Bhi Ajeeb Thi

Tera Faiz Bhi Tha Kamal Per

Kabhi Sab Kuch Mila Bin Talaab

Kabhi Kuch Mila Na Sawal Per
Wo Na Aye Un Ki Yad Aa Kr Wafa Kr Gai

Un Se Milne Ki Tamannah Sukoon Tabah Kr Gai

Ahat Hui Socha Asar DUA Kr Gai

Darwaza Khola To Dekha Mazak Hawa Kr Gai.
TANHA HO KABHI TO MUJAY DHONDNA
DUNYA SE NAHI APNE DIL SE POCHNA
ASS PAS HE KHEN BASTEY HAIN HUM
HMARI YAON SE NHI SATH GUZRE LAMHON SE PUCHNA.
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,

Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,

aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.
Maila Mere Dil Ki Khushya''n Tu Ne

Kin Logo''n Se Jorii Hyn

Jin Se Milne K Rastey Main

Aag Ka Darya Parta Hy
Kabhi aansoo kabhi Khushi dekhi
humne majboori aur bekasi dekhi

Chand lamhaat jeene ke liye
bechke apni zindagi dekhi

Andhere agar ghir aaye ho
tere pehloo mai raushni dekhi

Teri naraazgi ko kya samjhein
humne khud apni bebasi dekhi
Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho ''Faraz''
Aaj Shab !! Us Ki Furqat Main Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna ..
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein