khamoshiyo ke darmiya jo ek rishta unse kaayam ho gaya....
ab dekhna kitni dur talak ye jaayega....
sargoshiya hawa ki kehti hai ab bas yahi....
sambhal rakhna dil ko ab jara, tufaan jo utha hai ye ab aur gehraayega....
kal raat
chand ko dekh kar
ek ajeeb sa ahsaas hoa
dil ki dharkanon ney
dhire sey kuch kaha
tumhara dil
chand k jesa ha chamakta hoa
mager
phir dil ney kaha
k chand main tu dag ha
mager
tumhara dil
bilkol saaf ha
is tarah
jis tarah shaffaf aaiyena
aur is aayeney main
sirf ek he tasweer ha
jo mere ha......
magar!
yeh yaad rakhna tum
khudaa se yeh duaa karna
ke!!
jo acha lage tum ko
woh tum jaisa hargizz na ho
wagarna tum bi ro''ge
mujhe jaise rulaate ho....!