Phir nazar se pila dijiye
Hosh mere uda dijiye
Chodiye dushmani ki ranjish
Ab zara muskura dijiye
Baat afsana ban jayegi
Is kadar mat hawa dijiye
Aaiye khul ke miliye gale
Sab takalluf hata dijiye
Masoom mohbbat ka itna sa fasana ha kaghaz ki hawely ha aur barish ko bhi ana ha kya shrty muhbbat ha kya sharty zamana ha awaz bhe zakhme ha aur geet bhe gana ha ye ISHAQ nahe aasaan bus itna samajh lejye ik agg ka darya ha aur doob k jana ha..
yeh milna aur bicharr jaana
kab apne bas ki baat hai
kismat hi milati hai hum ko
kismat hi juddai deti hai
har baar yeh hi hota hai
koi hume bataye to sahi
ki aakhir kyu jo hum tum se nahi keh paate hai
wo dharkan se sunayi deta hai.
Yun he ranjishoun main guzar gayi
kabhi wo khafa kabhi main khafa,
usi mor k har mor pe,
kabhi wo ruka
kabhi mai ruka
wohi raastay,wohi ham safar,
na use khabar na mujhe pata
apni apni anaa mai gum
kabhi wo khuda
kabhi main khuda.......!!!