Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley
Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley
Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley
Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley
Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
Abhi tum dil Ko rehne do Abhi chup chap sehne do ..Mohabat ab nahi ho gi . abhi Ashkoo k eendhan main tumharey khab jalte han .. mohabbat ab nahi ho gi ye kuch din baad mein ho gi ... jab ye din guzer jayen ge ye unn ki yaad main ho gi ...mohabbat ab nahi ho gi
Kuch na kisi se bolenge,
bas tanhai me chup chup ro lenge,
apni to musafir jaisi hai zindgi,
sath kisi ke bhi ho lenge,
ye zindgi ek zahar bhara pyala hai,
kab tak hum isme amrit gholenge,
ab nind to aankho me aati nahi,
chalo jab maut aayegi to ji bhar ke so lenge