Mujh say meray chaak-

Mujh say meray chaak-
Mujh say meray chaak-i-guraybaan ka haal pochtay ho
kyun meray dostoun ki bewafai ka aahwaal pochtay ho,

num hoti hoein ankhain labu pay bikhri muskurahath
bikhray baaloun urtti rangat ka ahwal pochtay ho?

mein nay gham k sitaar pay hath rakhay hain
rundhi aawaz k geet ka kya sur-taal pochtay ho

chirrak k namak meray nasoor pay aa dost tum
perham k aser pay hua kya mera haal pochtay ho

qerya qerya bikhrri hain meri ruswaiyoun ki dastaain
jo meray yaar nay chali hai mujh say woh chal pochtay ho

maan khushiyaan sab lay ker tum aa dost
tum "Duaa" say khali hathu ka sawal pochtay ho
  

Jun, 05 2010     606 chars (4 sms)     2775 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
Waqt ki adalat me
Zindagi ki surat me
Ye jo tere haatho me
Ek sawaal nama hai
Kisne ye banaya hai
Kis liye banaya hai
Kuch samajh me aaya hai
Zindagi ke parche ke
Sab sawaal laazim hai
Sab sawaal mushqil hai....
"Ye dastur e zaban bandi hy kesI teri mehfil main!"*

*Iqbal*...

*"Yahan to baat karny ko tarasty hai zaban meri"*..
mujhy maloom hai mera mukaddar tum nai lekin,

meri takdeer se chhup kar marey ek baar ho jao
Main Muhabat ko
Choom Sakta Hun..!!!

Aur Nafrat ko,,,
Choo K dekh Sakta hun..!!!

Ye alag k haath bhi
Lagana Pasand Na Karun,,,

Main Bewafaai
mehsoos Kr Sakta hun

Chahay kitni bhi
Mamooli Kyun na ho,,,

Ye alag k
Tumhain Bataon Ya na bataon..!!!
Aik mudat k Pyasay ko Fakat Aik he jaam

SaQi Teri Tang dasti mujay Yaad rahay Gi.
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,

IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,

HAI agar ishq to aankho mein dekho,

ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
Wo Aana -parast Sahi Uski Baton mein Ikrar B Tha
Uske Chubtay Huy Lehje Mein Chupa Hua Piyar B Tha
Wo Mujhe Likhta Hai K Intizar Na Kero Mera
Lakin Uski Tehreeron Mein Sadiyon se Intizar B Tha
WO Kehta Tha MAt Roko K Manana Nahi Aata
Meri Narazgi Pe lakin Wo Beqarar B tha
Bhula Diya Hy Sub Apnon Ne Iss Taraah Se..


Jaise K Hum Iss Jahaan Mein Rehte Hi Nahi.
Basaoon Ga main kya Ujray Gharon ko?





Mera apna asasa *Be Basi* hy
Jo nazaro se dur magar dil k pas ho,

Apne liye khas ho,

Sukh-dukh me jiska sath ho,

Dil jiska saaf ho,

Jaise ki hamare liye "AAP" ho.
Neend Aankho''n Main
Musalsal Nhi Hone Deta

Wo Mera Khwab Mukamal
Nahi Hone Deta

Ankh k Seesh Mehal Main
Wo Kisi Bhi Lamhe

Apni Tasweer Ko Ojhal
Nahi Hone Deta

Rabta Bhi Nahi Rakhta Hy
Sar-e-Wasal Koi

Aur Ta''aluq Bhi Mo''atal
Nahi Hone Deta

Dil Ye Kehta Hy Usay
Laut K Aana Hy Yahin

Ye Dilasa Mujhe Pagal
Nahi Hone Deta ...