Itnay qareeb aao k ji bhar k daikh lon.
Shayad k phr milain to zoq-e-nazar na ho.
Mumkin ha aisa bhe waqat aye tarteeb-e-waqat me.
Dastak ko teray hath uthay
Or mera dar na ho.
Woh Mil Jatey Hain Kahani Bankar Dil Mein Bas Jatey Hain Nishani Bankar Jinhe Hum Rakhte Hain Apni Aakhon Mein Kyun Nikal Jatey Hain Wo Pani Bankar Khayaalo Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai Nigaahon Ko Teri Talaash Rehti Hai Tere Bina Koi Kami Nahi Lekin Tere Bagarr Tabiyat Udaas Rehti Hai
Unke chehre ko ankhn s hata sakte nhi
dil ki betabi ki surat dikha sakte nhi
kitni dilchasp hain Mohabbat ki majburiyan
samne manzil ha or kadm bada sakte nhi
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
Kis ehad ki batain karte ho
kab kon kisi ka hota hey
Kub kon kisi ki Chahat main
Yun Zehar ka Sagar peeta hey
Ye Hijr,Murawat Mehr-o-wafa,
Sub Rasmi Rasmi Batain hain,
Her Shakhs Khudi ki Masti main,
Bus Apni Khatir Jeeta Hai :)
Tum na maano magar hakeekat hai,
Ishq insaan kee jaroorat hai.
Uski mehful mein baith kar dekho,
Jindagi kitnee khoobsurat hai.
Do lafzon mein bayan hoti nahi kahani meri
Thak gaya asman thak gae zameen
Par yadein na rukein ye thi meri zindagani
Ab badal gaye mausam
Ab badal gae rutein
Phir bhi dhoonti hain muhjhay wo shamein
Siha kali
Dhoondte Kiya Ho In Annkhon Mein Kahani Meri,
Khud Mein Gum Rehna To Aadat Hai Purani Meri,
Bheer Mein Mil Jaoon Ga Asani Se Khoya Khoya Rehna Hai Nishani Meri.......