Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Deti?
Main Apni Zaat Ka Usko Hisab Kya Deti?
Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz!
Mai Us Ke Hath Mein Puri Kitab Kya Deti?
Wo Mujhse Poch Raha Tha Batao Kesa Laga
Tum Agly Zakham Choro Yeh Ghao Kesa Laga
Ajab Sawal Kia Andhiyoun Ne Patton Se
Shajar Se Toot Ker Girna Batao Kesa Laga