Hum To Her Baat Ko KHUDA

Hum To Her Baat Ko KHUDA
Hum To Her Baat Ko KHUDA pe Chor Dete Hai

Totey Na Dil Kisi Ka Dil Apna Tor Dete Hai

me b Insan Hon Pathar to Nahi

Jo Log Har toofan Meri Janib Mor Dete Hai
  

Jun, 04 2010     165 chars (2 sms)     2323 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Bachpanay Ki Neend To Ab Khwaab Ho Gai...


Kya Omar Thi K Raat Hoi Aur So Gaye... O_O
Aansuo''n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Haath Tou Maine Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi
Suno
Jahan sawal k badlay sawal hota hai
Wahin mohabbaton ka zawal hota hai
Kisi ko apna banana hunar he sahi
Kisi ka ban k rehna kamal hota ha
boht yaad aayen gi tujhe meri beylos wafain.

jb main teri zaat k sehra se nikla jaoon ga,,
Dil gaya tha to ye aankhain bhi koi le jata
Main faqat ek hi tasveer kahan tak dekhun..
batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot khawaish thi khud se guftagu ki
mein chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be kissi se!!!
Do chezeen meri jisam k sath nai.

ek mera dil or dosra dard
Ye IshQ-0-m0habat wada-0-wafa Sb Rasmi Rasmi Batain haiN ''FaraZ''

Hr Shaks Ana Ki Masti main Bs Apni khatir Jeeta hY
Khushi Chah Jati Hai

Chehre Pe Khushi Chah Jati Hai
Ankhon Mein Suroor Aajata Hai
Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho
Apne Pe Guroor Aajata Hai

Tum Husn Ki Khud Ek Dunya Ho,
Shayad Yeh Tumhain Maloom Nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe Noor Aajata Hai

Hum Pass Se Tum Ko Kiya Dekhen
Jab Tum Mukabil Hote HO
Betaab Nighaoon Ke Aage ,
Parda Sa Zaroor Aajata Hai

Jab Tumse Mohabbat Ki Humne
Tab Jake Kahin Yeh Raaz Khula
Marne Ka Saliqa Aata Hi Nahi
Jeene Ka Shaoor Aajata Hai
Takra hi gai meri nazar un ki nazar se
Dhona hi para hath mujhe qalb-o-jigar se

Izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se
Aisa na ho gir ja un kahin un ki nazar se

Ai zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de
Jana hai kahan aur ham aye hain kidhar se

''Fayyaz'' ab aya hai junun josh pe apna
hansta hai zamana main guzarta hun jidhar se,,
chalo khawab ankhon main saja kar dekhtay hian
chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hian
khon k rishton say aitebar uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hian
zindagi asan ho jaye shayad hamari
chalo hath ki lakiren mita ka r dekhtay hian
andheri shab tu kisi surat kat,ti nahi
chalo ghar apn a jala kar dekhtay hian
hamain maloom hay k tum nay hamara hona nahi
chalo tum per ye zindagi luta kar dekhtay hian....
sunte hai har chij mil jati hai dua se,
ek din tujhe mang ke dekhenge khuda se.