Meri Sari yadain aur Arman bas Aap ho,
Main to Jana kuch nahi Pehchan bas Aap ho,
Ge sakta hi nahi jis ke bin tera Amad,
Dil ki dharkan aur meri Jaan bas Aap ho.
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
Palko K Uthte Hi Do Diye Se Jal Jaate Hai
Jhuk Jaati Hai Jab Palke
To Band Kaliyo Se Nazar Aate Hai
Uski Aankhe hai Ya Meh K Pyale
Jo Bin Peeye Hi Hum Behak Se Jaate Hai....
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !