"KAHAN" "KAHAN" SE ALAG

"KAHAN" "KAHAN" SE ALAG
"KAHAN" "KAHAN" SE ALAG KARO GAY MUJHY

HAZAR "RISHTOON" MAIN TUM SE BANDHA HOWA HON MAIN
  

Jun, 03 2010     92 chars (1 sms)     2376 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tum kabi na meri azmaish kr sko gy,

jan se ziada kia frmaish kr sko gy,

pyar krty hain itna jitna samandr me pani,

kia samandr ki pimaish kr sako gy.
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
Shahadat K Waqt Bhi Chorri Nahi Namaz,,,

Aey Maot Tu Bhi Dekh Ley Ibadt HUSSAIN a.s Ki...
Ab k Saal Usy
Rafaqato''n Ka
Intizar Nhi

Wo Jo Dil
Beqarar Tha
Ab k Bar Nhi

Us Ny Mjhe
Chorh Dia Faqt
Baat Itni c Thi

Wo Mera
May''yar Tha Main
Uska May''yar Nhi
Mere Din Raat Mushkil Mein,
Sukoon Ek Pal Nahi Mujh Ko...
.
Mohabbat Taras Kha Mujh Par Mohabbat Chorh Ja Mujh Ko....
chupke se bheja tha aik gulab use magar..

kushbu ne shehar bahr me tamasha bana dala...
Tere sajde kahin tujhe kafir na kr den,
MOHSIN,

Tu jhukta kahin aur hai
AUR,
sochta kahin aur.....
Pyaar ka to Dushman Zamana hai,
Har Aashiq ke Pyaar ka apna hi fasana hai.
Sab ko pata hai Ansu hi milte hai Pyaar me,
Phir bhi kyun har koi Pyaar mein Deewana hai
Hum To Kitno Ko Mehjabeen Kehtay
Aap Hain Is Liye Nahin Kehtay
Chaand Hota Na Aasman Pay Agar
Hum kisay Aap Sa Haseen Kehtay
Aap nay Auron Say Kaha Sub Kuch
Hum Say Kuch To Kabhi Nahin Kehtay
Raat Dekha Tha Jate Jate Unhain
Chaand Ko Apna Janashin Kehtay
WO DIL KI BATIAN ZAMANAY BHAR KO NA YON SUNATA .. MUJAA BATAATA
WO EK DAFA TU MARI MUHABAT KO AZMATA .. MUJAA BATATA

ZUBAN-E-KHALKAT SA JANAY KIA KIA .. WO MUJ KO BAWAR KARA RAHA HAI
AIK DAFA TU ANNA KI DEWAR GIRATA .. MUJAA BATATA

ZAMANAY WALON KO KIA PARI K SUNAIN HAL-E-DIL SHAKASTAH...
MARI TU ARZO THI.. MUJAA BULATAH.. MUJAA BATATA

MUJAA KHABAR HAI ANDAIRAY USAY CHUPKAY CHUPKAY NIGAL RAHAY HAIN
MAIN US KI RAHON MAIN APNAY DIL KA DIYA JALATAH .. MUJAA BATATA

SITAM KIA HAI MUNEER .. K US NA SHAHAR CHORA HAI KHAMOSHI SA
MAIN US KI KHATIR YA SARI DUNYA BI CHOR JATA .. MUJAA BATATA
Tairay khayaloo say fursut nahe milte.

Aik pul k liye hamain raahut nahe milti.

Yon to sub kuch hamary pas hay.

bus daikhnay ko aap ki "surut" nahe miltee.
vo Khvaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisii se kyaa bichha.D gaye ki jaise kuchh bachaa nahiin

vo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar me.n ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin