Aaj ke daur mein aey dost ye manzar kyuN hai
zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuN hai
jab haqeeqat hai ke har zarrey mein tu rehta hai
phir zameeN par kahin masjid kahin maNdir kyuN hai
apna aNjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apani nazaron mein har insaan sikaNdar kyuN hai
zindagi jeeney ke qaabil hii nahii ab "Rahi"
warnaa har aaNkh mein ashkon kaa samaNdar kyuN hai