Woh din baray ajeeb thay

Woh din baray ajeeb thay
Woh din baray ajeeb thay,
jub tum mere qareeb thay,
ek din hogayi judaayi,
woh din mere naseeb thay.
  

Jun, 03 2010     103 chars (1 sms)     4489 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tu Nafrat Ki Aag Pe Aik Aanso Baha K Dekh
Mohabbat Kitna Wazan Rekhti Hai Usko Azma K Dekh
Wo Roth Jaye Tujhse Bari Baat Nhi Hai
Tu Hans K AIk Baar Usey mana k Tou Dekh
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
"Ab to bus jaan he daine ki baari hai jANA,

Mein kahan tak sabit karoon k wafa hai mujh main
Hum kyon yahan badnaam hai
zamaane ki humne dillagi dekhi

Waadon par bharosa abh kyon rahe
humne azeezon ki wada-khilaafi dekhi

Ek hum hai jo lut gaye tanha
Warna duniya bhar ki dosti dekhi....
Qiyamat khez hain aankhen tumhari!!
Tum aakhir khawab kis k dekhte ho...
Waqt ki rahon me aap bhula de chahe hume per hum aapko bhula nahi payenge pyar se awaz dena sapne me hum haqiqat main chale ayenge.
Dard Uthtay hain magar Aah nahi karty,
Kon kahta hai Hum Wafa nahi karty,
Aakhir kyun nahi Badalti Taqdeer Hamari,
Kya Aap bhi Hamary Haq me Dua nahi krte.
Yeh Hum Bhi Gawara Kartay Hain,
Yeh Tum Bhi Gawara kar laina.
Ro Ro K Guzari Hai Hum Nain,
Tum Hans k Guzara Kar Laina.
Betabi Hadh Sa Barh Jaye Aur Neend na Aaye Ratoon Ko,
Tou Doub K Meri Yadoon Main Duniya Sa Kinara Kar Laina.
Jis Waqt Janaza Guzray Ga Iss Shakhs Ka Teray Kochay Sa,
Jazbaat Pe Qabo Kar Laina Khirki Sa Nazara Kar Laina.
Wo Jo Poochta Hy Ye
Bar Bar ?

Kia Hy Zindagi Aur
Maut Kia ?

Aa Tjhy Btao''n
Me Is Trha

Tera Mera Jo Hy Ye
Rabta

Tujhy Pa Lia Tou Hy Zindgi

Tjhy Kho Di Tou Ye Maut Hy
hum ne kab mani thi baat zamanay ki
aaj humare baat manayzamana kyon
wo jungl kay phoolon per kyon marta hai
ussko achay lagtay hein veranay kyon
mohsin jab b chot nae kha leta hoon
dil ko yaad aatey hein dost poranay kyon,,
Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta’alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye
Likho asi kahani jo
hemesha yad reh jaye
Marey anso bahey itney
k sab koch sath bah jaye


Sono kooch tarz asi do
K jis sey dil bhi bhar aye
Agar tafseer parkho to
Mohabat Afsana Kahlaye

Koi Oonwan eysa do
K jis sey ilm zahir ho
Or jab oon lafzo ko Palto
Tumhara naam ban jaye