Yun daikhtey rehna

Yun daikhtey rehna
Yun daikhtey rehna usey acha nahi Muhsin. !
Woh kaanch ka paiker hai to pathar teri Aankhain
  

Jun, 02 2010     93 chars (1 sms)     2624 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

*Un ko pal pal duaian deta he
*jin se gham hi wasool hoty hen

*Bewafaoan se pyar karta he
*Dil k apny asool hoty hen
*~*~*TUM NE POOCHA*~*~*

tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!
koi pegam na hi DUA koi






is Qadar hm se hai khafa koi,



ay DIL un se na koi shikwa krna,



hm he se hui ho gi khata koi
mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.
dakhain pahle kon ata hai donon ka intzaar hai.
Nafrat Si Ho Giye Hai Ab To Mujhko Tere Naam Se

Nafrat Si Ho Giye Hai Ab To Mujhko Subha-O-Sham Se

Nahi Acha Lagta Mujhko Koi Tera Naam Lene Wala

Nahi Acha Lagta Mujhko Koi Wafa Ka Piyaam Dene Wala

Pyar Mein Kabhi Bhi Na Doobna Tum Itna Mere Dost

Pyar Mein Kabhi Bhi Had Se Na Guzerna Tum Mere Dost

Dua Hai Meri "Kaash" Ab Zindagi ka Chirag Ab Gull Ho

Dua Hai Meri Lakin Koi Tujhsa Bewafa Hargiz Na Ho
Mujhy Itna Na Chaho k
Main Khud Ko Tum
Samajh Betho''n

Mujhy Ehsaas Rehny
Do Meri Apni Bhi Hasti
Hy ... !!!
Khali hathun ko kabhi ghor sy dykha hai faraz,

Kis tarah log lakeerun sy nikal jaty hain...
hona tu wohi hai jo muqaddar me likha hai,

lekin woh mere khuwab,mere khuwab,mere khuwab.
Usey Kehna!!
Agar Aye tO
Sath Aapney
Koi Jugnoo, Koi Taara Bhi Le Aaye!
k Mera Dil......
Merey Ghar ki Tarah
Tareek Rehta Hai....!!
Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehtay Hein
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehtay Hein

Sirf Paanay Ka Naam Mohabbat Nahin
Kuch Khone Ko Bhi Pyaar Kehtay Hein
kyu Zindagi ki rah main majboor hogaee
Itne howe kareeb key hum dhur hogaee
Aisa nahi key hum ko koi bhi khushi nahi
Lekin ye Zindagi tho koii Zindagi nahi
Kyus key faseley humein manzoor hogee
Iney howe Kareeb key hum dhur hogaee
Paya Tumhain tho Hum ko laga Tumko Kho dia
Hum Dil pe Roye Aur ye Dil Hum pe Roo dia
Palkoon se khawab kyu Gire kyu churr hogaee
Itne howe Kareeb key hum dhur hogae
Kyu Zindagi ki raah main Majboor hogaee
Itne howe Kareeb ke ........... Dhur hogaee
wqat halat bhol jaty hain
ek ek bat bhol jaty hain
hum ne daikha hai hai log pal bhar main
apni uoqat bhol jaty hain