Kahan dil chor aye h

Kahan dil chor aye h
Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karta ho
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho.
  

Jun, 01 2010     313 chars (2 sms)     2490 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai
Mera us sy taa''luq sirf itna hai

k us k naam par

seeney main dharkan rukne lagti hai

magar aansoo nahi rukte.....
Yun daikhtey rehna usey acha nahi Muhsin. !
Woh kaanch ka paiker hai to pathar teri Aankhain
Ab To Mumkin Hi Nahi Un Se Mulaqat
Ab To Aruj Pe Ponchi Hai Us Ki Zaat

Wohi Waade Hai Or Rasmoon Ki Zanjireen Baqi
Kab Badalti Hai Zamane Ki Riwayat
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bh
Jighar ho jaatega chhalni ye aankhein khun royeingi

WASEE! Bay faiz logo se nibah kar kuch nahi milta!
Marnay k bad meri ye kahani likhna
Kese hui Barbad meri ye Jawani likhna
Ye likhna usay Intizar bahot tha kisi ka
Aakhri saans ki kesay hui Rawani likhna
Jo Qasmain khai thi us ne Piyar me
Un Qasmon ki kya hui us per Mehrbani likhna
Suljha Hua Sa Fard Samajhty Hain Mujh Ko Log.




Uljha Hua Sa Mujh Main Koi Doosra Bhi Hae !!
Na chaho itna hame, chahaton se dar lagta hai,
na aao itna karib ke judaise dar lagta hai,
Tumahri wafaon pe bharosa hai,
Magar apne nasibse dar lagta hai…
Tumse hi Dosti, Tumhara hi Intezar, Tumhare bina Dil rehta hai
Bekarar,tumhari yeh Saadgi, Tumhara yeh Pyar, Jeevan bhar na bhool payenge is
Dosti ko
Yaar...
Mera Piyar Bhi Mera Hi Mazak Ban Gaya
Loogon Ki Nazroo Main Ye Tamasha Ban Gaya

Mana K Kya Hai Jurum Maine Piyar Kar K
Par Dosro Ne Kya Piyar To Jeene Ki Waja Ban Gaya
Ye dunya hai yahan pey ye tamasha ho bhi sakta hai,
Abhi jo ghum hamara hai tumhara ho bhi sakta hai
.
na ye samjho k tum hi aakhri meri muhabbat ho,
muhabbat jurm hai hum sey dobara ho bhi sakta hai
.
samandar sey jo nisbat dy rahey hain meri chahat ko,
wo itna zehan main rakhain kinara ho bhi sakta hai
.
tera milna,bichar jana,bichar k pher sey mil jana,
hamesha ki judai ka ishara ho bhi sakta hai
.
tum apney aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
ye souda hai muhabbat ka khasara ho bhi sakta hai