tum dukhon ke soz ka mosamon ke rog ka

tum dukhon ke soz ka mosamon ke rog ka
tum dukhon ke soz ka
mosamon ke rog ka
dard mat saha karo
udas mat huwa karo
yeh dard hain hayat ke
kuch rung kainat ke
kuch dukh ki tez barishen
kuch phool hein nishat ke
tum phool bus chuna karo
khaar mat chua karo
UDAS MAT HUWA KARO
  

Jun, 02 2010     246 chars (2 sms)     2992 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab hum nay bhi unse naraz rehnay ki thaani hay.
Roz o Shab Umr e Rawaan Ki Bus Yeh Kahani hay.
Socha Hay k ab na kabhi Unko Yaad Ayengaya.
Masla TO yeh Hay kay Unko Kese Bhool Payengay.
AnDaz Fatah Ka Magar Chehre Pe weeerani hay.
Dil Hay toota hua Or ankhon se Behta paani hay.
Kehnay ko kehna Chahoon to kuch or boldoon.
is pyar ki kahani ko naya Mor Doon.
Phir bhi is dil ko abhi Awaaz lagani hay..

kia tum nay bhi hum se naraaz rehnay ki thaani hay?
taskeen dil k waste wada to kejaye..

humain tu maloom hai aap se aya na jaye ga..
Phoolm ko itna mat Sajaana,

Phool murjha B jate Hain,

AinaY ki Ada mat Apnaana,

Aaine fana B ho jate hain,

kisi ko Toot kr Mat chahna,

LOG B''wafa B ho jate Hain,
Abhi To Zid Hai Unhein Rasta Badlne Ki.


Woh Roein Ge Bhi Bohat Meri Chahtoon Ke Liye..
Chaha Hy Khuda Se Kch Aisa Rishta Humara

Main Teri Zaat K Pehlu Main Gumm Ho Jaon

Na Koi Ker Paye Humain Ek Duusre Se Alag

Main Apne Aap Se Niklo''n Tou Tum Ho Jaon
Tumain iss baat pe hai hyrat

k tuta hai hamara dil...

muqabil jab ho pather tou

sheeshy toot he jaty hain
taalash meri thi aur BHATAK raha tha wo.
dil mera tha aur DHARAK raha tha wo.
PAYAR ka taaluq ajib hota hai.
payas meri thi aur SISAK raha tha wo.
So Doorion Par Reh Kar Be Wo Mujh Say Juda Na Tha
Woh Meri Zindagi Tha Magar Be-Wafa Na Tha
Dol Na Zara Si Baat Ko Qayamat Bana Dala
Warna Kabhi Woh Mujh Say Itna Khafa Na Tha
jazba e ishq alfaz ka mohtaj hai lekan...

jo lafzon mein beyan ho,woh mohabat nahi hoti..
Kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
Kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai daikho to sahi

Kitni chahat say likhta thai mai naam tumhara
Wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

Haanton mai tum ne apnay chupayay thay moti bohat
Ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi
Is se pehle ki dilo me nafrat jaage,
aao ek shaam mohabbat me bita di jaye....
Karke kuch mohabbat ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!