Chehre Per Banawat Ka

Chehre Per Banawat Ka
Chehre Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
  

Jun, 02 2010     126 chars (1 sms)     3338 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kabhi dard to kabhi dua di hai,
dil ka chain aur aankhon ki neend uda di hai;
ye teri yaade hai ya mere dard ki inteha,
palkon ki katro pe nami saja di hai.
Wo to AMBER hai,
Ussay Apnay Anchal pay
Chaand Sjanay ka huq hai
Main to Fakat Khushbu hoon
Or khushbu k Muqadar main
Aazl se Bikhar Jana hi Likha hia


Us k Naam jo Zindagi ki Raah main Mera Saath choor k ab pachta raha hai
aaj phir yaad teri ayee hai
aaj phir raat kat na payegi
aaj phir nain barsenge
aaj phir neend rooth jayegi
aaj phir dil tuje pukarega
aaj phir aass toot jayegi
Dete ho kyu yeh dard bas humhi ko?Kya samjoge tum in aankhon ki nami ko,yuh toh honge lakho diwane is Chand ke,Chand kya mehsus karega Ek Taare ki kami ko. .
Ik mom ki gurya hai,

Ik prem kahani hai.

Ik shaakh hai
nazuk si,

kalyon ki jawani hai.

Woh phool ki titli hai,

Shola hai k pani hai.

Hai shan samundar ki,

Lehron ki rawani hai.

Woh noor-e-sehr hai ya,

Ik shaam sohani hai.

Dekhoon to sapna hai,

Sochoon to kahani hai.

kya naam rakhoon us ka,

kya baat kahoon us se?

Woh din ka ujala hai,
Woh raat ki RANI hai.

Ik mom ki gurya hai,

Ik prem kahani hai... ;-
Kia Husn , Kia Shabab , Kia Rung-o-Roop Hy

Wo Bheed Mein Bh Jayen Tou Tanha Dikahi Dain
meri awargi mein kuch dakhal hay tumhara bhi mohsin,

tumhari yaad aati hay to acha nahin lagta.
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay

Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay

Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi
Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhay

Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash''heer Jaa Baja
Mai Maanta Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhay

Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay

Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay

Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Likin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhay
naam to likh doonaam to likh doon us n us ka har jaga magar ye khayal aata hai,

masoom hai mera sanam kaheen badnaam na ho jaye...
Hausle Zindagi Ke Dekhte hai..
Chalo Kuch roz Jee ke Dekhte hai...
Baarishon se to Pyas buzhtee nahin...
Aao Ab Zeher Pee ke Dekhte Hain....
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya
kash usk ru baro na karen mujko hashar main.

kitne meray sawal hen jin ka nahi jawab hai.