mujhy maloom hy

mujhy maloom hy
mujhy maloom hy tum mujhy ko bhool jaao gay lekin..

palat kar jab bhi aao gay mohabbat muntazir hogi..
  

May, 28 2010     105 chars (1 sms)     2803 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek pal Baghair dekhe tujhe Guzr GaYa,

Aisa Laga k ek Zamanb Guzr GaYa,

TerE lie Bulaand hath umar Bhar,

k Apne Lie Duaon ka Lamha Guzr GaYa.
woh sari baatain yaad aati hain us ko

woh subhain,
woh shaamain

wohi zindagi ki musafatain

jinhain gin gin kay guzara kartay thay..

phir jub

haqeeqaton main wapis lout''ta he

toh

muskura daita he,.

aur

sar jhatak kay kehta he..

pagli!!!
Waqt_E_Gurbat main jab B koi mushkal muqam Aya

Na to koi GairoN Ny madad nA Apna koi kaam Aya
Hausle Zindagi Ke Dekhte hai..
Chalo Kuch roz Jee ke Dekhte hai...
Baarishon se to Pyas buzhtee nahin...
Aao Ab Zeher Pee ke Dekhte Hain....
zindagi pe is se bherh k tanz kya hoga faraz?
us ka yeh kehna k to shaayer hai, deewana nahin*
Kash Ho Aisa Jab Bhi Mujhko Chahat Ho Teri
Dil Mange Tera Saath Aur Mujhko Ijajat Ho Teri

Yaad Karta Hai Dil Phir Bhi Kabhi Chaha Nahi
Din Nikalta Rahe, Har Din Mujhe Jarurat Ho Teri

Maine Chaha Hai Bas Itna Hi, Apni Kismat Se
Ki Jab Tak Jiyun Main, Dil Main Mahobat Ho Teri

Rooh Mitti Nahi Par, Janti Hun Shareer Nashvar Hai
Jahan Lun Aakhri Saansein Vahin Aahat Ho Teri
Din udas Hain Teray Bin hijar shamain dasne lagi Hain,


Lout aao tum meray haal pe meri Tanhayian hansane lagi Hain.
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha
Meri Baton Pe Marta Tha
Na Janay Shakhs Tha Kesa?
Mujhy Khony Se Darta Tha
Wo Jab B Bat Karta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha
Suno
Agar Me Bhol Jaon To
Agar Me Roth Jaon To
Kabhi Wapis Na Aon To
Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia
Yohi Hanste Raho Gay Kia?
Yohi Sajte Raho Gay Kia?
Yehi Baten Thi Bus Uski,
Yehi Yaden Thin Bus Uski
Muje Malom Hay Bus Itna
“Yaar ”
Muje Wo Piyar Karta Tha
Muje Khony Se Drta Tha
Marna tu is jahan mein koi hadsaa nahi

Is doar-e-nagawar mein jeena kamal hai... ;->
BATAOO KAYSA LAGTA HAI???????
.
Ksi Veeran Rastay Pay,
Ksi Anjan Rastay Pay,
Ksi Ka Saath Mil Jana,
Khushi K Phool Khil Jana,
.
.
BATAOO KAYSA LAGTA HAI???????
.
OR us k baad phir Ek Din,
Ksi Ka you Bichar Jana,
Sabi Rangoo ka Mit Jana,
Woh Band Muthi Main,
Faqt Kuch Rayt Rah Jana,
.
.
BATAOO KAYSA LAGTA HAI????
Dukh Dard me haDukh Dard me hamesha mesha Nikaly Tumhare "KHAT"
Aur Mil gai Khushi tou Ushaly Tumhare "KHAT"

Sab Chooriyan Tumhari Samandr Ko Sonp Diin
Aur Kr Deye Hawa k Havaly Tumhare "KHAT"

Mery Lahoo me Goonj raha he Her ek Lafz
Maine Ragoon k Dasht me Paaly Tumhare "KHAT"

Yun tou hen Beshumar Wafa Ki Nishaniyan
Lekin Har Shaye Se Niraly Tumhare "KHAT"

Parwa nahe Mujhy kisi Chaand Ki Wasi
Tareek zindagi me Hen Ujaly Tumhare "KHAT"
jab uska dard mere saat wafa karta hay,
Ek samandar sa meri ankhon se baha karta hay.
uski batein muj ko khushbo ki tarah lagti hay,
phool jaise koi sehra may khilla karta hay.......