kabhi khud bhi merai

kabhi khud bhi merai
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
  

Jun, 05 2010     363 chars (3 sms)     2945 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mili Her Qadam Per Rafaqat Tumhari,
Kahan ham Kahan Ye Anayat Tumhari

Humain Chaheye Bas Taluq Tumhara,
Mohabbat Milay Ye Adawat Tumhari

Kisi Se Bhi Milna Usse Jeet Leyna,
Bari Dilnsheen Hai Ye Adwat Tumhari

Na Dehka Jahan Me Koi Or Tum Sa,
Bari Mufarid Hai Zarorat Tumhari..
Chandani raaton mein aansoo se andhera geela karna,

yehi toh ishq ka bada pyara andaz hai,

kabhi waqt mile toh mujhse bhi mohabbat karke dekhna,

teri berookiyon ko aaj bhi mera adaab hai!!
Umar bhar chaha k zameen_o_asman humara hota

Kash k khwahishon ka bhi koi kinara hota

yeh soch k usko meinay roka hee nahi

Dour jata hee kion agar wo humara hota
Kyun Jaagte Ho ?

Kia Sochte Ho ?

Kuch Hum Se Kaho

Tanha na Raho

Socha Na KAro

Ab Raat Ki Aankhain Bheeg Chaliin

Aur Chaand Bhi Hai Chuph Jane Ko

Kuch Der Main Shabnam Aaye Gi

Phoolo''n Ki Pyas Bujhane Ko

Shadaab Shagoofo''n Ki Suurat


Khwabo''n K Nagar Main Kho Jao


Ab So jao . . . ! ! !

Ab So Jao . . . ! ! !
Jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai....
Woh mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai...
Bichadh kar us se pereshan mein to hoon....
Per suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai...
Do jumloN main simti hai dastan mohabbat ki

Usy toot ke chaha aur chah ke toot gaye hum !
labo pe aaj unka nam aa gaya,pyaase k pas jaise jaam aagaya,dole kadam to gire unki bahome jakar,aaj hamara pina hi hamare kaam aa gaya....
Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!
Bahot Khud Pe Jabbar Kar K,

Mohabat Ka Safar Kar K,

Mita K Har Khushi
Apni,

Usay Paany Ki Chahat Mein,

Bas Itna Jan Paya Hun,

Mohabat Maar Deti Hai.
Dard Suhanne Sapnoo Jaissaa Kayun Lagtaa Ha..
DOOR Se Aayaaa,Apnoo Jaissaa Kayun Lagttaa Ha..

Men Ne DIL Men Usey Basaayaa Woh MOHSIN..
AKBAR Ke NO RATNOO Jaissaa Kayun Lagtaa Haa...

Merre Saath Hi EUROP Se Woh Aaayaa Haa..
Woh Merre Ham WATNOO Jaissa Kayun Lagttaa Haa...

Iqtidaar Ke NASHHE Ne Usey NIDHAAL Kiaa...
Be Maanni Se MATNOO Jaissaa Kayun Lagttaa Haa..?

Sochaa Thaa Mill Jaaey Gaa Aasaanni Se..
KIey Gaaey Woh JATNOO Jaissaa Kayun Lagttaa Haa...

Door Se Aayaa Apnoo Jaissaa Kayun Lagttaa Haa..
DARD Suhanne Sapnoo Jaissaa Kayun Lagttaa Haa...?
Jugnu ko qaid kar ke muskraya na karu,Roshni ke khatir kisi ka dil jalaya na karu,Dil pe sitam itna na karu,Yaad nahi karte tu yaad aaya na karo.
Rok detey hein shariat k takazey warna
Mei tera ziqer sab se afzal kar don.