AB Mohabbat Ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Shehar Bher Se To Adawat Nahi Ki Ja Sakti
Mera Chehra Meri Aankhain hain Salamat Ab bhi
Kon Kehta HAi Wazahat Nahi Ki Ja Sakti
Baat Ye Hai K Koi Toot K Chahye To Sahi
Her Kisi Se To Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gia
Jo Pori Na Ho Kabhi Aesi Aas Chor Gia
Ye Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kam Hai Kia
K Khud Door Hai Yadain To Pass To Chor Gia
Jo Khuwaishain Thi Kabhi Hasraton mein Dhal Gaye Ab
Mere Labon Pe Wo Aik Lafz KAASH Chor Gia
Yeh Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha
K Aam Logon Mein Ek Tujh Ko Khaas Chor Gia
Baharon Se Mujhe Isi Liye Tou Nafrat Hai
Inhee Ruton Mein Mujhe Wo Udas Chor Gia
Aarzo hai wafa ban k taray sath raho
dharkano ki sada ban k taray sath raho
maray honto say JISAY mout bhi na cheen sakay
wo zindagi ki dua ban kay taray sath raho