Aaj phir us bewafa se pyar kyo hai......!
woh wapas aayegi yeh aitbaar kyo hai.....!
Bhoolna to chahte the dilse usey.....!
Phir bhi woh meri yaadon ki haqdaar kyo hai........!
khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main*
manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
nafrat hi pehr e daar mili har makaam par
jis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
ham baargah e ishq main maqbool youn hue
khud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheer
niklay thay ghar se ik musarrat k shauq main
apnay chaman se raabta bilkul nahi raha
sehra norad ho gaey daulat k shauq main
daaman main hasraton k siwa kuch nahi
aisay lutay hain ham teri chahat k shauq main