Sapno ki duniya ha

Sapno ki duniya ha
Sapno ki duniya hai nirali,
Har taraf rehti hai hariyali.
Par asli duniya ki khabar rakhne wale jante hai,
Isiliye woh sapno ko sach nahi mante hai.
  

Jun, 02 2010     151 chars (1 sms)     11139 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Abhi To Zid Hai Unhein Rasta Badlne Ki.


Woh Roein Ge Bhi Bohat Meri Chahtoon Ke Liye..
hum ko jin ki rafqat pae naaz tha mohsin.

wo loog bhi hawa ki tarhan rukh badal gaye..
deti rhi fareib taray payar ki nazar...

tu ne meri wafa ko tamasha bana dia....
Agar Kabhi Kitaab Likho
Chahato’n K Naam Likhna
Rafaqato’n K Naam Likhna
Tumhari Mujs Se Dosti Ki
Wo Pehli Pehli Baat Likhna
Payam Likhna Wo Dosti K
Qabuliyat K Muqaam Likhna
Wo Hijr Ki Raato’n Ki Baat Likhna
Wo Vasl Din Ki Mulaqat Likhna
Ikhtitam-e-Kitaab Aaye Tou Soch Lena
Yaad Kerna
Aur
Apna Mera Naam Likhna . . .
Dil toorna humari aadat nahi,dil hum kissi ka dukhate nahi,bharosa rakhna meri wafaon pe, dilm mein basa kar hum kissi ko bhulate nahi..,
Jiyo Itna Ki Marna Mushkil Ho Jaye,
Hanso Itna Ki Rona Mushkil Ho Jaye,
Kisi Ko Chahna Achchhi Bat He Magar
Chaho Itna Ki Bhulana Mushki Ho Jaye.
Bay-hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna…

Khauf k bayabaa’n may…

soojhhta kuch bhi nahee’n…

Bad-gumaani palti hay…

Saaeybaa’n hi jab apna…

Munharif ho chhaao’n say…

Justujoo parraao ki…

Bay-samar si lagti hay…

Bay hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna….!
tab kaheen ja k ik ghazal likhi...

main tuje sochta raha barson.
Nighahain bolti hain Betahasha

mohabat paglon ki guftgu hai.
Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakhoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.
Itnay qareeb aao k ji bhar k daikh lon.
Shayad k phr milain to zoq-e-nazar na ho.
Mumkin ha aisa bhe waqat aye tarteeb-e-waqat me.
Dastak ko teray hath uthay
Or mera dar na ho.
ek waqat hi tha jo raha humsafar mera humesha.

haye tujhe tu teri hi adaon ne nar dala..