Asman ko need aaye to

Asman ko need aaye to
Asman ko need aaye to kahna sulaau kahan Dharti ko maut aaye to dafnao
kahan Sagar mein lehar aaye to chupao kahan Jab teri yaad aye to jau
kahan!!!
  

Jun, 05 2010     151 chars (1 sms)     3964 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi

ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi
naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi

bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi

raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
apny halat say main sulha tu kar lon lekin

muj ma ro posh jo ik shaks ha mar jay ga
Aao Kabi Khud Chal K Ghar Hamare
Dekho Kitna Yaad Karte Hain Tumhe

Kabi Ake Dekhlo Tanhai Me Halat Hamare
K Kitna Pyar Karte Hain Tumhe
Chahat hai lekin haqeeqat
nahi hai,,


Aaj kal kisi k0 kisi se sachi
M0habbaT nahi hai,,


J0 tumhain bhula de Tum
bhi usay bhula d0,,


Is se behter mere pass k0i
NASEEHAT nahi hai !!!
~*~ Tum Hi Ho ~*~



Shab ki apni
parchai''yan hyn

Din k apny tevar hyn

Kch yaadai''n hyn ,

Kch baatai''n hyn

Apny apny
roz-o-shab k
sab qaidi hyn

Roz-o-shab k
Saarey
manzar-naamo''n main

Jo chehra sab se ujla hy

Wo "TERA" hy ...
Nikal aate hai aansoo rone se pehle...

Toot jate hai sare khwab sone se pehle...

Kehte hai k pyar ek saza hai...

Kash koi rokta mujhe pyar hone se pehle....
apni yaad ko kah de youn yaad bahar na stya kare.

hor roz teri yaad ka qatal kar k sona parta hai..
kabhi dard to kabhi dua di hai,
dil ka chain aur aankhon ki neend uda di hai;
ye teri yaade hai ya mere dard ki inteha,
palkon ki katro pe nami saja di hai.
Phi Se Toote hue paton ka Sahara le kr,

wehshat-E-Dil kisi jugnu se udhara le kr,

Dasht-E-dunia me umidon ka kinara le kr,

main Tujhe Yaad kron ek Umer Doobara le kr.
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
kuch log bhul kr b bhulaey ni jate
aitbar itna k aazmaey ni jate
ho jate hain dilo pr is tara musalat
k naksh un k chah kr mitaey nahi jate
US NAY PHOOL BHEJAY HAIN
US NAY PHOOL BHEJAY HAIN


us nay phool bhajay hain
phir meri ayadat ko
eik eik patti ma
un laboon ki narmi ha
un jamil hathoon ki
khushgawar hiddat ha
un latif saansoon ki
dilnawaz khushboo ha
dil ma phool khiltay hain
rooh ma chiraghan ha
zindagi mouattar ha
phir bhi dil ye kehta ha
baat kuch bana leta
waqt k khazanay say
eik pal chura leta
kash.....wo khud aa jata