JIS NAZAR SE DEKHTE

JIS NAZAR SE DEKHTE
JIS NAZAR SE DEKHTE RAHE IS DUNIYA KO HUM,
UN AANKHON MEIN HAMARI KOI PEHCHAAN BHI NAA THI
  

Jun, 05 2010     92 chars (1 sms)     2679 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Meri khamushiyon ka raz mujhey khud nhi malum

Wassi

Najane kiyon log muje maghroor samajhte hain....!!!
yeh tumhay bata dun may
chahaton k rishtay may
phir girah nahi lagti
lag bhi jai to ismay
woh kashish nahi rehti
eik pheeka pheeka sa
raabta to hota hay
taazgi nahi rehti
rooh k talluq may
zindagi nahi rehti
baat woh nahi rehti
dosti nahi rehti
laakh baar mil ker bhi
phir dil nahi miltay
zehen k jharokon may
yaad k dareechon may
titlion k rangon k
pho0l nahi khiltay
is liyay may kehta ho0n
is terhan ki baton may
ehtiat kertay hain
is terhan ki baton say
ijtinab kertay hain
KHUDA kere Usey Zindagi Mein Sada Thokrain Naseeb Hon

Mere Haath Se Mere Hamsafer Tera Haath Jis Ne Chora Dia
Arzoo-e-Dil ne hamay diwana bana diya.

Roay na thay hum kabhi, Humain rolla diya.

Hum ne to har waqat yaad kiya aap ko lakin,

Aap ne yaad karte karte Zamana laga diya..
Us k bina b Zindagi kat he Jaye Gi...

Hasrat-e-zindagi tha wo Shart-e-zindagi to nahi
Main Nay JEE Bhar Kay TujH ko Daikh Liya
TujH Ko ULjHa Kar Kuch Sawaaloon Mien…!!!

Teri adaon ka hua main deewana is kadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezaar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe dhundti rahe meri nazar.
Jab bhi chaho mere khawabon main chali aana,ho k shamil meri sanson main,meri rooh main utar

jana,tume ijazat hai jab bhi chaho,chandni ban k mere kamray ki khuli khirki say qadam

barhati hoi ahista ahista dabay qadmon say chali ana,main us roz dua krunga,wo shab jo

tumhare sath basar ho,kisi bhi tore agli sadi say kam na ho.
Tum Aaye, chaley bhi gye
apney peechey,
aik achi se mulaqat ka naqash
choor gye

ab ham beithey
tumhari batoon key aqas sey
kahien door sey aati
tumhaari khushbu key lams sey

tumhein yaad ki banhoon mein liye
tumhaari qurbat ka ehsaas jagga rhey hein
apna jee behla rhey hein...
Saffar kitna bhe ho musaafir ko To chalna hee hai
Wo Sangdil kitna bhe ho humain Zulm to Sehna hee hai
Ik mom ki gurya hai,

Ik prem kahani hai.

Ik shaakh hai
nazuk si,

kalyon ki jawani hai.

Woh phool ki titli hai,

Shola hai k pani hai.

Hai shan samundar ki,

Lehron ki rawani hai.

Woh noor-e-sehr hai ya,

Ik shaam sohani hai.

Dekhoon to sapna hai,

Sochoon to kahani hai.

kya naam rakhoon us ka,

kya baat kahoon us se?

Woh din ka ujala hai,
Woh raat ki RANI hai.

Ik mom ki gurya hai,

Ik prem kahani hai... ;-
Bohat Udas Hai Koi Shaks Tere Jane Se
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se
Tu Laakh Khafa Sahi Magar Ik Bar To Dekh
Koi Toot Gaya Hai Tere Rooth Jane Se