Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
Pyaar ka to Dushman Zamana hai,
Har Aashiq ke Pyaar ka apna hi fasana hai.
Sab ko pata hai Ansu hi milte hai Pyaar me,
Phir bhi kyun har koi Pyaar mein Deewana hai
Thori si ibadat boht sa sila deti hai,
gulab ki tara chehra khila deti hai,
Allah ki yad ko dil se na jane dena,
kabi kbi choti si dua bhi arsh hila deti hai,,,
us nay phool bhajay hain
phir meri ayadat ko
eik eik patti ma
un laboon ki narmi ha
un jamil hathoon ki
khushgawar hiddat ha
un latif saansoon ki
dilnawaz khushboo ha
dil ma phool khiltay hain
rooh ma chiraghan ha
zindagi mouattar ha
phir bhi dil ye kehta ha
baat kuch bana leta
waqt k khazanay say
eik pal chura leta
kash.....wo khud aa jata