Teri adaon ka hua main deewana is kadar

Teri adaon ka hua main deewana is kadar

Teri adaon ka hua main deewana is kadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezaar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe dhundti rahe meri nazar.
  

Jun, 01 2010     186 chars (2 sms)     5974 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Muje dard-e-ishq ka maza malum hai, Dard-e-dil ki inteha malum hai, Zindgi bhar muskrane ki dua na dena, Muje pal bhar muskrane ki saza malum hai.
Auroon se Manga kuch na mila sirf Zillat mili..!!

Allah Sey Manga sub Kuch mila Sath Izzat mili..!!

Aye Bandey Maang usii sey jo deta hai khushi sy..!!

Aur phir kehta nahin kisi sey....!!
Wo baat Kyun Karun JisKi Khabar hi na ho,

Woh Dua Kyun Karun Jiska Asar hi na ho,

Kaise Keh du Tujhe Lag Jaye Meri Umar,

Kya pata Agle Pal Meri Umaar hi Na ho.
Uss Se Kaho Ek Baar Aur Dekh Ke Azaad Kar De Mujhe

K Mein Aaj Bhi Uss Ki Pehli Nazar Ki Qaid Mein Hoon
Talluq Toot Jay Ga Mera Sarey Zamaney Se,
Ek teray rooth Jany Se,
TumHarey Sath Rehnay se Dil ko Taskin Milti he,
Bohat TakleeF hoti He TumHarey Door Janey Se..!!
Be Rehmi Se He Sahi Magar Kuch To Bola Karo Dost!


Chup Rehte Ho To Nafrat Ka Gumaan Hota Ha
''ALI'' Ada he to doulat hy Mah-jabino ki

jo Bay Rukhi Na Kary ,wo Pari JamaL Nahi.....
Qalam tutdi nahi,

Seyahi mukdi nahi,

Nahion Mukda Dilon pyaar usda,

Oh saanu yaad kare na kare,

Saanu rehnda har waqt khayaal usda...
Jin pathron ko ham ne ata ki thee dhrkne,


Unko zuban mili to hamee pe baras parey....
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Muhabbat Phool Hai Jana,
Kaho To Phool Ban Jaoon,
Tumhari Zindagi Ka Ek,
Haseen Asool Ban Jaoon.
Suna Hai Rait Pe Chal K,
Tum Aksar Mehk Jatay Ho,
Kaho To Ab K Bar Main,
Zameen Ki Dhool Ban Jaoon.
Buhut Nayab Hotay Hain,
Jinhein Tum Apna Kehte Ho,
Ijaazat Do Ki Main Bhi,
Es Qadr Anmol Ban Jaoon . . . o_O
Ikr-E-Shab-E-Firaaq Se Vahshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shauq Thaa Naye Chehroon Ki Deed Kaa
Rastaa Badal Ke Chalnay Ki Aadat Usay Bhi Thi
Mujh Se Bichhar Ke Shahar Mein Ghul Mil Gayaa Vo Shakhs
Haalaanke Shahar Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi
Vo Mujh Se Barh Ke Zabt Kaa Aadi Thaa Ji Gayaa
Varnaa Har Ek Saans Qayaamat Usay Bhi Thi