Khush ho ay dil mohbbt

Khush ho ay dil mohbbt
Khush ho ay dil mohbbt to nibha di to ne,
log ujar jatay ha anjaam se pehlay pehlay
ab teray zikar pe hum baat badal daite ha
kitne raghbat thi teray naam se pehly pehly
samne umar pari ha shab-e-tanhai ki,
wo mujhay chor gaya sham se pehly pehly.../
  

Jun, 03 2010     256 chars (2 sms)     2359 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mery kufr-e-mohabat pay na kar tanqeed ay saaqi..

koi to bat dekhi thi,k sajda kar liya hum ne...
Kaun kehata hai tujhe maine bhula rakha he
Teri yadon ko kaleje se laga rakha he

Lab pe Aahen b nahi Aankh me Aansu b nahi
Dil ne har raz muhabt ka chhupa rakha he

Tune jo dil k andhere me jalaya tha kbhi
Vo diya aj b siine me jala rakha he

Dekh ja aake mahakte huye zakhmon ki bahaar
Maine ab tak tere gulshan ko saja rakha he
Koun Si Cheez Dil Ke Bas Mein Nahi
Dil Magar Apni Dastaras Mein Nahi
Kab Se Aankhain Talaash Karti Hain
Ek Din Jo Kisi Baras Mein Nahi
Aisi jagi na phir DIl main tamana koi....
Aapse bechdey to phir khuwab na dekha koi
Hain Bohut log jinhe PYaR kia jaye...lekin
Dil jisay TOoT k chahay .....nahi aisa koi
Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Sochti baithi hoon ….
Kaash aisa ho
Tanha chandni raat ho
Aur Tum Saamne Aaa jaao
Khwaab dekhti hoon....
Mehfil ho….Koi naam le tumhara
Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Mehsoos Karti Hoon.....
Ye barfili chaadarein
Ye khushboo hawaaon mein
Jab tumhaare chehre se ye guzarkar
Tumhari khushboo liye mere chehre pe samaaye
Aaankh khule Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Jhumti hoon
Baarish mein bh
Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!
Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,
doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,
khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,
darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,
dosti k raston ki,
parwarish zarori hai,
dosti k rastay main,
khafgiyan nahi chalti,
do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay.
umer bhar karte rahe talash manzil ki...

dhool chahre pe thi hum aiana saaf karte rahe.
ye dsrd key tukry hen,ashaar nahi saghar.

ham kaanch k dhagy me zakhmon ko paroty hen.
pahle to paaniyon se rahi guftagu meri.

phir youn hua ke aaina eejaad ho gaya.
Ji tu kerta hai ussay muft mai jan de don mohsin...
Itnay masoom kharedar say kia lena dena...
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !