Ankhon mein uter ker

Ankhon mein uter ker
Ankhon mein uter ker


dheery dheery


puraaney gham


Palkon pey


nanhy nanhy


sitarey piro gaey


Ab bachpaney ki neend to


ek khwab ho gaee


Wo din kanhan


k raat huee aur so gaey....
  

May, 27 2010     218 chars (2 sms)     2678 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi
Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi
Aaina daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi
Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena
Swab samjh k wo dil k tokry karta ha mohsin
gunah samj k hum un say gela nahe karty
Aasaib
Zada Ghar Ka
Main Woh Dar
Hoon Mohsin,

Deemak
Ki Tarha Kha
Gayi Jisay Dastak
Ki Tamanna.
Ye mausam b kitna pyara hai,

karti ye hawae kuch ishara hai.

Zara samjho in k jazbato ko,

Ye keh rahi hai kisi Dost ne

DIL SE apko pukara hai.
Ek khushboo GULAB k sath
Thori si HANSI har baat k sath
Ek yaad Mulaqat k sath
Naya mousam Thori si Sardi k sath
HAMESHA khush raho
Meri"DUA"k sath
sirf ghabraayegaa woh, tum dekhnaa.
baat ulzaayegaa woh, tum dekhnaa.

mahez uska naam us se pooch lo,
kahe nahin paayegaa woh, tum dekhnaa.

hoth par chullu liye jhuk jao to,
aur tarsaayega woh, tum dekhnaa

haan, mujhe pahechaantaa to hai magar
phir mukar jaayegaa woh, tum dekhnaa.

shaam dhalnaa, Ayesha kahenaa teraa,
‘khair, kal aayega woh, tum dekhnaa.’
Har pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao,
Pal bhar ka saath kuch aisa ho,
Ki har pal tum hi yaad aao....
KhuD Piyaas Ka SehRa Hon MaGaR DiL Ki Ye ZiD HaI.!

HaR DashT PaR Sawan Ki TaRha TooT Kar Barsoon~~
Tod de har ik umeed ki doori.
UmeeDon Mai kia rAkha hay.
ishQ Mohabat batain hain.
in bataon main kia rAkha hay.
kismat main jo likha hAy wo Akhir ho kr rAhay ga.
chAnd lakarain ulgi si hAin warnA hathoN main kya rAkha hAY.
Pyar K Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Apni Jaan Se Jane Waale Kuch Kuch Pagal Hote Hian

Hijr K Gehre Zakhm Miley Tou Mujh Ko Ye Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain

Jaan Se Pyare Logo''n Se Bhi Kuch Kuch Parda Lazim Hai
Saari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain

Us K Ishq Main Bheeg K Hum Ko Ye Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Main Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Jo dil k ainey mey ho wohi hay piar k kabal. warna deed k kabal tu har tasveer hoti hay.........