Hazaron gham hain lekin aankh

Hazaron gham hain lekin aankh
Hazaron gham hain lekin aankh se nikley nahi ansoo

Hum ehl e zerf hain peetay hian chulkaya nahi kertey.
  

Jun, 01 2010     107 chars (1 sms)     3266 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yad ha tum ne
muje kaha tha

agar kabhi ham
bichhar gaey to
dil mein pyaar ke jugnoo bhar ke
kuch pall muj ko dhondtey rehna
dekhna main phir laut aaon gi
lekin..
teri yaad mein ab tak
main aur jugnoo bhattak rahey han
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...

Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai''

Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..

Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...
Har pal kisi ke ane ki umeed to rehti thi


Aye khuda mujhe phir se wohi tanhai de


Na de chahe koi khushi bas itna karam kar


mera gam mere chehrepe na dikhai de.
Dil me khuda hai,

Ankho me Nasha hai,

Baato me Mazaa hai,

Chahat me Adaa hai,

Andaz bhi Juda hai,

Pyar me Wafa hai,

Are Yaar

isliye sub hum pe fida hai.
Jane kis baat ki mujhko saja deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.
Muskaan Tere Hotho pe Khushi mere Dil me Hoti hai,
Agar dard Tere Dil ko ho to Ankhen Meri Roti Hai.
Tu Mehsoos toh krke Dekh Dost,
"DOSTI" aisi hoti hai
Main Hoon Aur Afsurdagi ki Aarzu "Ghalib" k Dil
Dekh Ker Tarz-e-Tapaak-e-Ahl-e-Dunya Jall Gaya
Aisay badla hon teray sher ka pani pee kr
Jhoot boloon to nidamat nahi hoti mujh ko

Hai amanat main khiyanat,so kisi ki khaatir
Koi marta hai to hairat nahi hoti mujh ko

Itna masroof hon jeenay ke hawas main MOHSIN
Saans lenay ke bhi fursat nahi hoti mujh ko
Tumhe bakshi hai dil pe hukmrni or kia dety.
Yahi thi bus humare rajdhni or kia dety.
Sitaro se kse ki mang brna ek fsna hai.
Tumhare nam lekh de zndgni or kia dety.
Woh hum s emangta tha umar k aik dilnshn hissa.
Na detay us ko hm apni jawani or kia dety.
Bichartay wqt us ko ek na ek tufha to dena tha.
humaray pas tha ankho me pani or kai dety.
Khirki, chand, kitab aur main,
Mudat se ik baab aur main,
Shab bhar khailen apas me,
Do ankhain ik khwab aur main,
Mouj aur kashti sahil per,
Dariya me gardaab aur main,
Sham, udaasi, khamoshi,
Kuch kanker talaab aur main,
Har shab pakrey jaty hen "
Gehri neend, tery khwab aur main....!!
Chehra mera tha,nigahen uski
Khamosi mein bhi wo baten uski
Mere chehre pe ghazal likhti rahi
Sher kehti hui ankhen uski
Aise mausam bhi guzare hamne
Subah jab apni thi shamen uski
Neend is soch mein tuti aksar
Kis tarah katati hai raten uski
Dur rehkar bhi sada rehti hai
Mujhko thame hue bahen usk
Tum tu chand ho jisay sab log yad kartay hain
Hamari qismat tu taron jaisi hai
Yaad to door
Log apni dua k liye hamaray tootnay ki faryad kartay hain