Aks-e-khushboo hoon, bikharnay say na rokay koi
Aur agar bikhar jaoon to mujh ko na samaitay koi
Kaamp uth-ta hoon main yeh soch k tanhaee main
Meray chehray pe tera naam na parh lay koi
Jis tarah khuwaab meray ho gaye reza reza
Iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi
Main to uss din say harasan hoon k jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi
Ab to iss rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwazay say jhankay koi
Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain, aye koi