ajeeb tarha sy socha

ajeeb tarha sy socha
ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye
ky zakham zakham mein khilta hon mein her khushi k liye

woh mujh ko chorr gaya toh mujhy yaqeen aaya
koi bhi shaqs zarori nahee kisi k liye

sawal ye hai k uss ny kabhi nahee pocha
ky aap sochty kaisy hain shairee k liye

usey khabar hai k uss ka koi nahee apna
aik aashnai bhi kafi hai ajnabie k liye

khata kisi ki ho lekin saza kisi ko mily
ye baat jabr ny choori hai her sadee k liye

ye saadgi thi mairi ya k Saad chahat thi
ky mainny khud ko paish kiya dil lagi k liya
  

Jun, 04 2010     535 chars (4 sms)     2385 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bicharty wqt us ne kha tha,
Na sawal krna na jawab mily ga,
mujy bhol jana qrar mily ga.
Hm us muqam pr thy,
Na swal kia na jawb mila,
na bhol sky na qrar mila
mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai
MAHAk TERi AAj BHi MERi SANSOn Me HAi
HAr Ek AD''Da TERi MERi ANKHo Me HAi.
To BHALAy MITa De APNe DIl Se MERa WAJOOd.
MAGAr TERi JAGAh AAj BHi YADOn Me HAi.
Faqat Is Dur Se Hum Ne Soona Chor Diya

FARAZZ

Agar Wo Khuwab Main Bhi Na Ayee To Hum Mar Jayenge
Apne honton per sajana chahta hon
Aa tujhey main gungunana chahta hon

Koi ansoo tere daman per gira ker
Boond ko moty banana chahta hon

Thuk gaya main kerte kerte yad tujhko
Ab tujhey main yad aanaa chahta hon

akhri hichki tere zaano pe aaye
maut bhi main sha''erana chahta hon

Rah gayi kuch kami ruswaiyon main
Phr QATEEL us durr pe jana chahta hon
=> Meray Ajnabi ere Aashana Tujhay Harf Harf Mein Dua Likho

==> Agar na Ban Sakon Kabhi Tera To Hayyat Ko Mein Fana Likho

==> Agar Na Ho Dar Mujhe Kuffar Ka To Phir Tujhe Apna Khuda Likho

==> Ye Zindagi Qadam Qadam pe , Teri Yaad Se jawan Rahay Meray Ajnabi Mere Aashana Tujhe Kabhi Na Mai Juda likhoon
Shab ki Aghosh mein aa jaye agar Khayal uska Wasi...

Subha bistar se bhi phoolon ki mehek aati hai....
Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi
Muddatein Beet Jati Hain Kisi Ke Intezaar Mein
Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi
mujhe maloom hai tu mujhe har gunha k baad bhi bakhash de ga khudya..

kuch asa kar khudya k mian gunaha na kero or tujhe pasand aajao..
Daagh-e-Sajood ager teri Peshani pey huwa to keya,

Koi aeysa SAJDA bhi ker k Zameen pey Nishan rahey.
Aaj Tu Yeh Naqaab Hata De,
Apna Pyara Sa Chehra Mujhe Dikha De,
Aaj Tu Haya Ke Sabhi Parde Gira De,
Aaj Tu Mujhe Apni Sanson Mein Basa De.
milain hm bhi kabhi tu k hijab bhool jay
me swal bhool jaon wo jwab bhool jay
wo kisi kheal mn ho aur isi kheal mn hi
kabhi mery rasty mn wo gulab bhool jay
jo kabhi tu parhny bethy mujy harf harf dekhy
teri ankhin bheeg jain tu kitab bhool jay
teri sooch pr hawi ho meri yad iss tarh say
k tu apni zindgi ka ya nisab bhool jaay
wo jo dekhy meri janib tu bachon mn aik gunah sy
usy dekh lon man itna k sharab bhool jay
mujhy gham wo dey rha ha magar iss py chahta ha
me hissab rakh na paon wo hissab bhool jay