Chup Rehte To Dum

Chup Rehte To Dum
Chup Rehte To Dum Ghut-ta Aur Dard Zada Hota
Kuch Moo Se Nikal Jata Tou Koi Khafa Ho Jata
WO Jab Bhi Zaara Rotha Chup Behte Rahe Hum Bhi
Aik Baar Mana Lete Tou Roz Khafa Hota
  

Jun, 03 2010     178 chars (2 sms)     2313 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aay to yun k jasy samandr se the ''Mahrban''

Bhulay to yun k go''yaa kabhi Aashna na the!
aye hasile khuloos bata kia jawab doon.

dunia yeh poochti hai mai q udaas hoon.
pahle to paaniyon se rahi guftagu meri.

phir youn hua ke aaina eejaad ho gaya.
Royein nahi to kya karein
Kuch aur to samajh mein ata nahi

Roothein huoun ko manaein kaisey
Yeh soch kar chain ata nahi

Agar kisi ko pana hai mushkil
To bhulana bhi mumkin nahi![/b
Apni Zindagi Bhi Us Chand Ki Manid Hai Sahil
Jo Khubsurat To Dekhta Hai Magar Hai Bohat Akela
Mushkil tha harr lamha tujhse juda rehna,
Mumkin tha bas itna ke tere bin marjaana,
Kaise kahoon mai jaanam,
Tha kaisa mera aalam.
Seene se lagaa ke teri,
Tasveer ko akele me rona,
Mushkil tha askhon ko chupana,
Mum kin tha tere bin marjaana.
Ab jo tum aagayee tow,
Raahat mili hai dil ko,
Ab mujhko sunlo aye jaanam,
Tanhaa kabhee na rehne dena,
Mushkil tha tanhaa rehna,
Mumkin tha tere bin marjaana.
Parhte rhye logon ki payar ki kahnyan or dastanain.

bardi harani hovi kal shub apni hi dairy mia ek phool or ansu dakhe.
koe pal ho teray sath ka meri umar bhar ko samait lay..

main''fanaa''baqaa''k sabhi safar usi aik pal mein guzaar doon.
zindagi mein sada haste raho,
hasna zindagi ki zarurat hai,
zindagi jiyo toh iss andaz mein,
ki tumhe dekhkar sabko lage ..
zindagi kitni khoobsurat hai!
Tere Khuabon ki Duniya or mein Tanha!
Raat Sumandar Chand Hawa or mein Tanha!
Koi to kash mera Bhi Gham saaz bane !
Mujh se sare loog khafa or mein tanha!
Dard Se Kehlna Seekh Gaye Hum
Gham Ko Jhelna Seekh Gaye Hum
Kia Bataon Meri Zindgi Ne Kis Qadar Tora Mujhe
K Mout K Saath B Kehlna Seekh Gaye Hum
tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre khayalon main,
jawabon main,
sawalon main,
muhabat ke hawalon main,
tumara naam a jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. .........