Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!
"Yaar ne dil ka haal batana chhod diya,
humne bhi gehrayi mein jana chhod diya,
jab unko hi koi doori ka ehsaas nahin,
to humne bhi unko ehsaas dilana chhod diya."
Nukss Mujh Main Zaroor Hay Koi
Aaj ItNa Jo Door Hay Koi
Muskurao Na Aaj Taroon
Gum Kay Zakhmon Say Choor Hay Koi
Uss Nay Yaad Karna Choor Dia
BaaT Iss Main Zaroor Hay Koi.