Yai dua Hai mery

Yai dua Hai mery
Yai dua Hai mery abh na ho dedaar tera
abh na tery tarap na ho intezar tera
hun tu mein wohee aur wohee piyar mera
par ay jaan-e-man abh nahin etibaar tera
kiyon aagaeen duriyan humaray darmiyan
mein ay humnasheen kiya hai, qasoor mera?
  

Jun, 02 2010     242 chars (2 sms)     3139 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tumam umer karta raha jis ki muhabat ki ibdat..

jub mohabat mali tu meri pass zindgi na rahi
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
meri gurbat ne uraya hay mere fun ka mazaq.

teri dolat ne tere aeb chupa rakhay hain...
abhi se soch le kay muhabaat fanna kar deti hai,

agar anjaam se darte hai to agaz mat kar..
Lafzon ki tarah tu mujh se kitabon mai mila kar Duniya ka tujhe dar hai to khawabon mai mila kar Phuloon se khushbu ka taaluq hai zaruri. Tu mujh se mehak ban k gulabo mai mila kar...
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
iss haqeekat ko na honay dena logon py ayaan mohsin,,

k teri chahato''''n sy chalti hain meri saansain...
Mere kareeb to aao ki bahut udaas hoon mai,
koi kahani sunao ki bahut udaas hoon mai,
kisi bhi jhoote dilaase se dil ko behlao to sahi,
bus aaj toot ke chaho ki bahut udaas hoon mai..............
main kachi nind main hun
aur apne nim khwabida tanaffus main utarti
chandani ki chap sunti hun
guman hai
aj bhi shayad
mere mathe pe tere lab
sitare sabat karte hain
Tumhain chaha hai shidat se magar tum se kehna paaye
Base hain Dil main mudat se magar tum se kehna paaye

Tumhari aankhon ne jo chahre pe likha hua dekha hai
Woh kehna tha tum se fursat se magar tum se kehna paaye

Yeh Dil dete hue hum ko tumhain taqeed karni thi
Is Dil ko rakhna hifazat se magar tum se kehna paaye

Tumhain kehna tha yeh hum me Mohabbat cheez hai aisi
Nahi milti hai jo daulat se magar tum se kehna paaye..
"Teri YaaDain"

Teri Yaadain

Kisi Muflis Ki Ponji Si

Jinhain Hum Pass Rakhty Hain

Jinhay Mahfooz Rakhty Hain

Jinhay Sub Say Chupatay Hain

Jinhay Hum Roz Gintay Hain
"Raat"
Darwazay pe,,,
Kitni Dustakon Ke
Zakham The MOHSIN...



Phir Wohi,
Pagal Hawa Thi,
Phir Muje,,
DOHKA Huwa...