Har pal ne kaha ek

Har pal ne kaha ek
Har pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao,
Pal bhar ka saath kuch aisa ho,
Ki har pal tum hi yaad aao....
  

Jun, 05 2010     132 chars (1 sms)     2443 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Suno ...!!

Tumhay barsti hoi barishain...

Bohat pasand hain na..

To....

Aao dekho...

Aaj mukabala hai...

Rim-jhim barasti barish ka...

Mere aanson se...!
hairaa''n hon k mujh se hi maidaan jeet kar,

usko meri shikast ka dard chhorta nhi...
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
App ki mahobbat hum ko ku raj na ayei 2
App ki dushmani hum ko ku itni bha gayi.
Sayad jamane ko kadar nahi hai mahabbat karne walo ki 2
Is liye nafrato se bhari hai ye najar duniya walo ki.
Zindgi ki rah ma rasty badal jaty hen,

waqt ki andhi ma insan badal jaty hen,

sochty hen tumhe itna yad na karenlekin,

Ankh band karty he irady badal jaty hen
Jab tak bikey na thay Hum, koi poochta na tha





Toou ne Khareed ke Humein Anmol kar diya
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai
ujhe khawabon me mujhse aksar log cheen lete hain mohsin.

suna ha khwabon ki tabeer ulti huea krti hay..
Pucha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye
Pani Mein Aks Chand Ka Dekha To Ro Diye


Nagma Kisi Ne Saaz Par Chera To Ro Diye
Gancha Kisi Ne Shakh Se Tora To Ro Diye


Urdta Hoa Gubar Sar Rah Dekh Kar
Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye


Badal Faza Mein Aap Ki Tasveer Ban Gi
Saya Koi Kahyal Se Guzra To Ro Diye


Rang-e-Shafq Se Aag Shagofon Mein Lag Gi
Mubeen Sagar Hamare Hath Se Jahlka To Ro Diye
Sitaro''n Jesi Ye Aankhai''n
Ye Chaand Sa Chehra

Tumhara Silsila Kuch
Aasmaan Se Milta Hy ... !!
Tune Dekha hay kabhi

Chaand pe Behta Hua Paani?

Maine Dekha Hay Ye Manzar

Uss K Rukhsaar Pe Aksar...!!!
Marnay k bad meri ye kahani likhna
Kese hui Barbad meri ye Jawani likhna
Ye likhna usay Intizar bahot tha kisi ka
Aakhri saans ki kesay hui Rawani likhna
Jo Qasmain khai thi us ne Piyar me
Un Qasmon ki kya hui us per Mehrbani likhna