Tu k simta tu rag-e-jaan

Tu k simta tu rag-e-jaan
Tu k simta tu rag-e-jaan ki hadoon mai simta,
Mian k bikhra tu simta na gaya tere baad,
Yeh alag baat hai k afshan na hua tujh per warna,
Kitna mehsos kiye tujhay main nay tere baad,
  

Jun, 04 2010     186 chars (2 sms)     4301 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Batao kesa lagta hai?

kisi viran rasty py,

kisi anjan rasty py,

kisi ka sath mil jana,

khushi k phool khil jana,

btao kesa lagta hai!

Aur us k baad! phir ek din,

kisi ka u bichar jana,

sbhi rangon ka mit jana,

wo bandh muthi me hathon kee,

faqt kuch rait reh jana...

btao kesa lagta ha.!!
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain

kaise lagi aap sub ko?????????????
Milne ka waada unke mon se to nikal hi gaya

MOHSIN ,,

Hum ne poochi jaga to hans k kaha khawab main aa jana ,,
Dheery dheery guzar raha hoon

Zinda hoon shayed ya mer raha hoon

Mushkil to hai ye safr-e-zeest

Daikho magar main ker raha hoon
Main ne SamjhA Tha JisAy m0hAbAt ka Taj mAhAL

W0 B UjrA Hua GhAr Tha Mere GhAr ki Tarah
tanhayioon mein baith ker kia sochtay ho tum

kuch to hamain batao pareshaan hum bhi hai
Apne Dil ki Baat kisi ko bataya na karo,
Log mutthi mein namak liye ghumte hain,
Apne zakhm kisi ko dikhaya na karo
Sanson main B Shamil Ho



Laho main B rawaan Ho


Lakin merAy Hathon ki Lakeeron main kahan ho?
dil hai to usee kaa hai, jigar hai to usee kaa.
apne ko rah-e-ishaq mein barbaad jo kar de.
Mohabbat Aam Nahi Hoti

Isay Tum Khaas Rehne Do

Khil K Phool Ban''ne Tak

Kali Main Baas Rehne Do

Khwabo''n Ko Panapne Do

Dilo''n Main Aas Rehne Do

Muqaddar Raas Rehne Do

Mohabbat Khaas Rehne Do
mit''tay nahi hain mar k bhi rishtay khaloos k..

"yonhi diye lahad pay jalata nahi koi..
Is Peyari pryari Rena ko
Is Dukh bhari chena ko
Abhi Marna nahi tha jeena tha
Kuch Zehar dukhon ka peena tha
Is Chanda jesi Soorat ko
Abhi marna nahi tha jeena tha
Par maar deya hallat ne us ko
Cheen li Waqat na har khuahish
ho gai Chiriya band Zindan mein
Phir to us ko rona tha
Dukh ki baat to ye ha ke
Us Sohni Sohni Chiriya ko
Abhi marna nahi tha jeena tha.