Is jaam ki aadat jab tak mila na tha tumse
ab to zarrorat ban gayi hai
Jab se milke bichre hain
hothon pe hansi aankhon mein nasha ,
sabko hai pata
Main sharaabi ban gaya kyon
mujhko na bata
Yeh zakhm tera, ye zurm mera
Na bhool sakoonga kabhi
Nashe mein dooba rahta hoon, tou
Tumko bhoola rahta hoon
har darkhan k saath dil tere nam leta hai,
tere khayal meri toti sanson ko tham leta hai,
jb b tanhaiyan satati hain,
tere tassawor mere hath tham lete hai
Rakhay khuda nay do rastay mujhay azmanay k liye
Woh chor day mujh ya mein chor doon usay zamanay k liye
Kaisay maang loon rub say usay bhool janay ki dua
Hath uthtay nahi hain dua mein usay bhool janay k liye
Nahi ki zindagi mein meinay koi bhi neki
Par parhi hain chhup k kuch namazein usay panay k liye
Nahi hai tu na sahi who qismat mein meri
Par aik mauqa to day usay ay RAb yeh aansu dikhanay k liye
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai