Is marhaly ko mout bhi kehty hain "GHALIB"...

Is marhaly ko mout bhi kehty hain "GHALIB"...
Is marhaly ko mout bhi kehty hain
"GHALIB"...
.
.
Jahan ek pal me toot jaye umar bhar ka sath... ;->
  

May, 29 2010     108 chars (1 sms)     3792 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

jo bhaagte bhaagte thak jaayen
woh saaye ruk bhi sakte hain
chalo toro kasam ikraar karen
hum dono jhook bhi sakte hain
Agar Mohabbat Se Darr Lgta Hy
Tou Saans Lena Chorh De

Mohabbat In Hawao''n Mein
Dua Ban K Basi Hui Hy ..
Kadam u hi dagmaga gaya raste se
Warna sambhalna hum bhi jaante the
Thokar bhi lagi to us pathar se
Jise hum apni JAAN mante the
Nukss Mujh Main Zaroor Hay Koi
Aaj ItNa Jo Door Hay Koi
Muskurao Na Aaj Taroon
Gum Kay Zakhmon Say Choor Hay Koi
Uss Nay Yaad Karna Choor Dia
BaaT Iss Main Zaroor Hay Koi.
KHUDA kere Usey Zindagi Mein Sada Thokrain Naseeb Hon

Mere Haath Se Mere Hamsafer Tera Haath Jis Ne Chora Dia
Kahani dard ki main zindagi se kya kehta

Ye dard us ne diya hai usi se kya kehta

Gila to mujh ko bhi karna tha piyaas ka lekin

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kya kehta

Mere aziz hi mujh ko samajh na paye kabhi

Me apna haal kisi ajnabi se kya kehta

Andheri raat ne mujh ko bohat sataya hai

Bhala ye baat mein ab roshni se kya kehta.

Tamaam shehar mein jhoot ka raaj tha''WASi''

Mein apne gham ki haqeeqat kisi se kya kehta....
dil ka bazar mian dolat nahi dekhi jati.....
ho jaye pyar toh surat nahi dekhi jati..
ek muskurahat pe do alam ko nichwar kar do......
Maal acha ho toh qeemat nahi dekhi jati.....
kal dekha aik admi aata safr ki dhool main.

ghum tha apne aap main jase khushbo phool main,
Her Roz Naya Zakham-E-Judai Na Dia Ker
Milna Jo Nahi hOta Dikhai Na Dia Ker
Ab Teri Rafaqat Mein Sadaqat Nahi Milti
Ab Apni Mohabbat Ki Safai Na Dia Ker
Ab Milein Gey To Khoob Rulain Gay Us Sang Dil Ko FARAZ,

Suna Hai Rotay Main Usko Lipat Jany Ki Adat Hai...
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.
kabhi dard to kabhi dua di hai,
dil ka chain aur aankhon ki neend uda di hai;
ye teri yaade hai ya mere dard ki inteha,
palkon ki katro pe nami saja di hai.