Aaj ke daur mein

Aaj ke daur mein
Aaj ke daur mein aey dost ye manzar kyuN hai
zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuN hai

jab haqeeqat hai ke har zarrey mein tu rehta hai
phir zameeN par kahin masjid kahin maNdir kyuN hai

apna aNjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apani nazaron mein har insaan sikaNdar kyuN hai

zindagi jeeney ke qaabil hii nahii ab "Rahi"
warnaa har aaNkh mein ashkon kaa samaNdar kyuN hai
  

Jun, 04 2010     396 chars (3 sms)     2780 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Main Jo Chahoon
To Abhi Tor Loon
Naata Tumse , , ,



Per Main Buzdil
Hoon Mujey Maot
Se Darr Lagta
Hai , , ,
Rooth Jane Ki Adaten Na Gai
Dil Jalane Ki Adaten Na Gai

Zakhm Kha Kr B Tujh Se Nam Tera
Gungunane Ki Adaten Na Gai

Pyar Se Jo B Mil Gya Us Ko
Dukh Sunane Ki Adaten Na Gai

Chand Ki, Sharm Se Naqabon Me
Mu''n Chupane Ki Adaten Na Gai

Do Dilon Ko Ujar K Hansna
Ye Zmane Ki Adaten Na Gai

Chand Jesa Hr Ik Hasee''n Chehra
Dil Ko Bhane Ki Adaten Na Gai

Beesiyon Bar Aazma K Hmen
Aazmane Ki Adaten Na Gai

Raat K Pichle Peher Ey Ayaz
Ghr Ko Aane Ki Adaten Na Gai
jo hum pe guzri hai kabi tum par bi guzre.

tum ko bi yad ayen beti batain jana.

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
Ajnabee shaher me ajnabee log,
meri tanhai par muskurate rahe,
main bahot der tak saheta raha,
aur wo mujhe baar-baar aajmate rahe.
ya tera zikr kare her shakhs mujh se.

ya koi hum se guftago na kare koi.
Meri baylous mohabbat ne duboya hai mujhe
Itna mukhlis houn ke her dil main uter jaata houn
sub ko maloom hai sub ko chord jana hai us ne.

pher itna payaar kuon kerta hai sub se..
Sakoon tha jab tak tumhare pas rahe,
phir uske baad jahan bhi rahi udaas rahe.
Tammam raat intzaar me guzri,
tamam raat taroon ke sath rahe.
Wo Apne Faiday Ki Khatir Phir A Mile Thay Humse

FARAZ

Hum Nad''an Samjhe K Hamari Dua''on Ka Asar Hai
Mai''n kahee''n gum hoo''n...


Tum kahee''n gum ho...


Phir bhi aisa lagta hay...


Her jagah mai''n hoo''n...


Her jagah tum ho...!
Tum Bin Jeena Aisa Hy

Zeher Ko Peena Jesa Hy

Tum Se Bichar Kr Zinda Rehna

Hum Se Poocho Kesa Hy

Mera Tum Ko Takte Rehna

Chaand Ko Takne Jesa Hy

Tera Hans Ki Baatai''n Krna

Phoolo''n K Khilne Jesa Hy

Badal tere Pyar Ka Hum-Dam

Aaj Tou Khul K Barsa Hy

Chaand Ki Nazrai''n Jhuk Jati Hyn

Tera Mera Pyar Aisa Hy . . .