diyar-e-dil ki raat mai

diyar-e-dil ki raat mai
diyar-e-dil ki raat mai chirag sa jhala gaya,
mila nahi tu kaya hua,wo shakal tu dekha gaya,
wo dosti tu kher naseeb-e-dushmana huee,
wo choti choti ranjishon ka lutaf b chala gaya
  

Jun, 04 2010     183 chars (2 sms)     3196 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Na Poocho Mein Tumhare Baghair Kyn Nhi Roya
Waja Thi Yh Log
Agar Mein Rota To Inhon Ne Kehna Tha

"Tum Ne Us Ki Yaad Pr Pani Phair Diya"
"Khud ko khud ki khabar na lage,

koi achha b is kadar na lage,

aap ko dekha hai bas us nazar se,

jis nazar se aap ko nazar na lage
Mera din chupa kisi raat may

meri raat chupi kisi zaat may.

meri zindgi kisi raaz may

koi raaz hai meri zaat may.

may jahan kaheen bhatak gia

may girta girta sanbhal gia.

mujhy thokroun se pata chala

koi haath hai mery haath may.
Nikal aate hai aansoo rone se pehle...

Toot jate hai sare khwab sone se pehle...

Kehte hai k pyar ek saza hai...

Kash koi rokta mujhe pyar hone se pehle....
masmiyat ka ye andaaz bhi mere mehboob ka hai"mohsin"

us ko tasveer mein bhi dekhon to palkein jhuka leta hai...,
guzishta raat uss k hont par ..

jab yeh sawal ubhra ..

muhabbat rutjagay kion maangti hai ?

kion sataati hai ?

to main dheeray say muskaya ..

aur uss k pass say uth kar ..


phir apnay ghar chala aaya ..!!
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
Tere dil ko chhu ke hawa jo guzre kabhi
Samajh lena humko yaad teri aaye abhi
Humne socha kaise tumko pata chale
Boli hawa," Mein dila ke ehsaas aaye abhi "
Saath tere chalti rahegi yun yeh fiza
Jaise meri dhadkan dil mein samaye abhi
Dekh ke dewaane tumko hum ho gaye
Nazaron pe meri awaargi hai chaaye abhi
Lag rahi hoon khush mein aaj kyun itna
Lagta hai Uss ne Kismat meri banaye abhi
Yeh Zarori Nahi K Aag Se Jal Jaye Bashar,


Baaz Logoun Ko Muqadar Bh Jala Dete Hain..
Kaanch ko chaahat thi patthar ko pane ki,
ik baar phir tutkar bikhar jane ki,
bas itni si chahat thi us diwane ki,
apn tukdo me uski tasveer sajane ki.